Meri Be-hauslagi Is Se Siwa Aur Sahi, Urdu Ghazal By Jameeluddin Aali

Meri Be-hauslagi Is Se Siwa Aur Sahi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameeluddin Aali. Meri Be-hauslagi Is Se Siwa Aur Sahi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Meri Be-hauslagi Is Se Siwa Aur Sahi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میری بے حوصلگی اس سے سوا اور سہی

جمیل الدین عالی

میری بے حوصلگی اس سے سوا اور سہی

اور چاہو تو محبت کا صلا اور سہی

یوں بھی کچھ کم تو نہ تھے اتنی بہاروں کے ہجوم

ان میں شامل ترے دامن کی ہوا اور سہی

مجھ کو اصرار کہاں ہے کہ محبت جانوں

آج سے معنی انداز و ادا اور سہی

طلب درد میں دل حد سے گزرتا کب تھا

تم نے پوچھا تھا کہ اور اس نے کہا اور سہی

اب تو ہر شہر میں اس کے ہی قصیدے پڑھیے

وہ جو پہلے ہی خفا ہے وہ خفا اور سہی

ہم اسی رحمت و زحمت کے ہیں عادی یا رب

جیسی بھی ہے اسی دنیا کی فضا اور سہی

سبق بے گنہی تشنۂ تکمیل بھی تھا

اک نیا فلسفہ‌‌ٔ جرم و سزا اور سہی

آج آپ اپنے محاسن کا بیاں کر لیجے

محفل تذکرۂ اہل وفا اور سہی

کیا ضروری ہے کہ انداز‌ بہاراں رکھے

اب جو کچھ اور ہے رفتار صبا اور سہی

اب بہت شور سہی کل تو کوئی پرکھے گا

ان صداؤں میں فقیروں کی نوا اور سہی

کیوں نہ عالیؔ سے علائی پہ غزل لکھوائے

ایک بیدادگر رنج فزا اور سہی

جمیل الدین عالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri Be-hauslagi Is Se Siwa Aur Sahi

Jameeluddin Aali

meri be-hauslagi is se siwa aur sahi
aur chaho to mohabbat ka sila aur sahi

yun bhi kuchh kam to na the itni bahaaron ke hujum
in mein shamil tere daman ki hawa aur sahi

mujh ko israr kahan hai ki mohabbat jaanun
aaj se mani-o-andaz-o-ada aur sahi

talab-e-dard mein dil had se guzarta kab tha
tum ne puchha tha ki aur is ne kaha aur sahi

ab to har shahar mein us ke hi qaside paDhiye
wo jo pahle hi KHafa hai wo KHafa aur sahi

hum isi rahmat-o-zahmat ke hain aadi yarab
jaisi bhi hai isi duniya ki faza aur sahi

sabaq-e-be-gunahi tishna-e-takmil bhi tha
ek naya falsafa-e-jurm-o-saza aur sahi

aaj aap apne mahasin ka bayan kar lije
mahfil-e-tazkira-e-ahl-e-wafa aur sahi

kya zaruri hai ki andaz-e-bahaaran rakkhe
ab jo kuchh aur hai raftar-e-saba aur sahi

ab bahut shor sahi kal to koi parkhega
in sadaon mein faqiron ki nawa aur sahi

kyun na 'ali' se alai pe ghazal likhwae
ek bedadgar-e-ranj-faza aur sahi

(902) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri Be-hauslagi Is Se Siwa Aur Sahi written by Jameeluddin Aali at UrduPoint. Meri Be-hauslagi Is Se Siwa Aur Sahi is one of the masterpieces written by Jameeluddin Aali. You can also find the complete poetry collection of Jameeluddin Aali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameeluddin Aali' above.

Meri Be-hauslagi Is Se Siwa Aur Sahi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri Be-hauslagi Is Se Siwa Aur Sahi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.