Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai, Urdu Ghazal By Jameeluddin Aali

Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameeluddin Aali. Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ جو بڑھتی ہوئی جدائی ہے

جمیل الدین عالی

یہ جو بڑھتی ہوئی جدائی ہے

شاید آغاز بے وفائی ہے

تو نہ بدنام ہو اسی خاطر

ساری دنیا سے آشنائی ہے

کس قدر کش مکش کے بعد کھلا

عشق ہی عشق سے رہائی ہے

شام غم میں تو چاند ہوں اس کا

میرے گھر کیا سمجھ کے آئی ہے

زخم دل بے حجاب ہو کے ابھر

کوئی تقریب رو نمائی ہے

اٹھتا جاتا ہے حوصلوں کا بھرم

اک سہارا شکستہ پائی ہے

جان عالیؔ نہیں پڑی آساں

موت رو رو کے مسکرائی ہے

جمیل الدین عالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai

Jameeluddin Aali

ye jo baDhti hui judai hai
shayad aaghaz-e-be-wafai hai

tu na badnam ho usi KHatir
sari duniya se aashnai hai

kis qadar kashmakash ke baad khula
ishq hi ishq se rihai hai

sham-e-gham main to chand hun us ka
mere ghar kya samajh ke aai hai

zaKHm-e-dil be-hijab ho ke ubhar
koi taqrib-e-ru-numai hai

uThta jata hai hauslon ka bharam
ek sahaara shikasta-pai hai

jaan 'ali' nahin paDi aasan
maut ro ro ke muskurai hai

(665) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai written by Jameeluddin Aali at UrduPoint. Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai is one of the masterpieces written by Jameeluddin Aali. You can also find the complete poetry collection of Jameeluddin Aali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameeluddin Aali' above.

Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Jo BaDhti Hui Judai Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.