Hawa Ne Dosh Se JhaTka To Aab Par Thahra, Urdu Ghazal By Jamuna Parsad Rahi

Hawa Ne Dosh Se JhaTka To Aab Par Thahra is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jamuna Parsad Rahi. Hawa Ne Dosh Se JhaTka To Aab Par Thahra comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hawa Ne Dosh Se JhaTka To Aab Par Thahra on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہوا نے دوش سے جھٹکا تو آب پر ٹھہرا

جمنا پرشاد راہیؔ

ہوا نے دوش سے جھٹکا تو آب پر ٹھہرا

میں کچھ بھنور میں گرا کچھ حباب پر ٹھہرا

زمیں سے جذب یہ پگھلی سی نکہتیں نہ ہوئیں

عروس شب کا پسینہ گلاب پر ٹھہرا

غم و نشاط کا کتنا حسین سنگم ہے

کہ تارہ آنکھ سے ٹوٹا شراب پر ٹھہرا

روپہلی جھیل کی موجوں میں اضطراب سا ہے

قدم یہ کس کا سنہرے سراب پر ٹھہرا

میں لفظ خام ہوں کوئی کہ ترجمان غزل

یہ فیصلہ کسی تازہ کتاب پر ٹھہرا

جمنا پرشاد راہیؔ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hawa Ne Dosh Se JhaTka To Aab Par Thahra

Jamuna Parsad Rahi

hawa ne dosh se jhaTka to aab par Thahra
main kuchh bhanwar mein gira kuchh habab par Thahra

zamin se jazb ye pighli si nikhaten na huin
urus-e-shab ka pasina gulab par Thahra

gham o nashat ka kitna hasin sangam hai
ki tara aankh se TuTa sharab par Thahra

rupahli jhil ki maujon mein iztirab sa hai
qadam ye kis ka sunahre sarab par Thahra

main lafz-e-KHam hun koi ki tarjuman-e-ghazal
ye faisla kisi taza kitab par Thahra

(589) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hawa Ne Dosh Se JhaTka To Aab Par Thahra written by Jamuna Parsad Rahi at UrduPoint. Hawa Ne Dosh Se JhaTka To Aab Par Thahra is one of the masterpieces written by Jamuna Parsad Rahi. You can also find the complete poetry collection of Jamuna Parsad Rahi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jamuna Parsad Rahi' above.

Hawa Ne Dosh Se JhaTka To Aab Par Thahra is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hawa Ne Dosh Se JhaTka To Aab Par Thahra, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.