Nur-e-mah-e-asmani Aur Hai, Urdu Ghazal By Jauhar Deobandi

Nur-e-mah-e-asmani Aur Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jauhar Deobandi. Nur-e-mah-e-asmani Aur Hai comes under the Social, Sufi category of Urdu Ghazal. You can read Nur-e-mah-e-asmani Aur Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نور ماہ آسمانی اور ہے

جوہر دیوبندی

نور ماہ آسمانی اور ہے

داغ دل کی ضو فشانی اور ہے

جب کلی کوئی کھلی آئی صدا

چند دن کی زندگانی اور ہے

سرخ آنسو ہیں یہ جام چشم میں

یہ شراب ارغوانی اور ہے

عشق میں تیشہ زنی چلتی نہیں

کوہ کن یہ پہلوانی اور ہے

دیر و کعبہ کے جہاں پردے نہیں

وہ مکان لا مکانی اور ہے

اے فلک تجھ میں کہاں تھا یہ شعور

اس ستم گاری کا بانی اور ہے

ابر باراں میں کہاں سیلاب یہ

چشم گریاں کی روانی اور ہے

زندگی جس سے کہ ہو زیر و زبر

وہ نگاہ دل ستانی اور ہے

راہ الفت میں جو ہو جائے شہید

وہ حیات جاودانی اور ہے

ایک ہیں سب کافر و مومن یہاں

میکدہ کی حکمرانی اور ہے

شاعری سے انس ناحق ہو گیا

میرا پیشہ خاندانی اور ہے

اور بھی یوں تو سخنداں ہیں بہت

تیری جوہرؔ خوش بیانی اور ہے

جوہر دیوبندی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nur-e-mah-e-asmani Aur Hai

Jauhar Deobandi

nur-e-mah-e-asmani aur hai
dagh-e-dil ki zau-fishani aur hai

jab kali koi khili aai sada
chand din ki zindagani aur hai

surKH aansu hain ye jam-e-chashm mein
ye sharab-e-arghawani aur hai

ishq mein tesha-zani chalti nahin
kohkan ye pahalwani aur hai

dair-o-kaba ke jahan parde nahin
wo makan-e-la-makani aur hai

ai falak tujh mein kahan tha ye shuur
us sitamgari ka bani aur hai

abr-e-baran mein kahan sailab ye
chashm-e-giryan ki rawani aur hai

zindagi jis se ki ho zer-o-zabar
wo nigah-e-dil-sitani aur hai

rah-e-ulfat mein jo ho jae shahid
wo hayat-e-jawedani aur hai

ek hain sab kafir-o-momin yahan
mai-kada ki hukmarani aur hai

shairi se uns-e-nahaq ho gaya
mera pesha KHandani aur hai

aur bhi yun to suKHan-dan hain bahut
teri 'jauhar' KHush-bayani aur hai

(654) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nur-e-mah-e-asmani Aur Hai written by Jauhar Deobandi at UrduPoint. Nur-e-mah-e-asmani Aur Hai is one of the masterpieces written by Jauhar Deobandi. You can also find the complete poetry collection of Jauhar Deobandi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jauhar Deobandi' above.

Nur-e-mah-e-asmani Aur Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nur-e-mah-e-asmani Aur Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.