Raushni Ka Parda Hai Darmiyan Tere Mere Aur Pyar Jari Hai, Urdu Ghazal By Javed Akhtar Bedi

Raushni Ka Parda Hai Darmiyan Tere Mere Aur Pyar Jari Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Javed Akhtar Bedi. Raushni Ka Parda Hai Darmiyan Tere Mere Aur Pyar Jari Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raushni Ka Parda Hai Darmiyan Tere Mere Aur Pyar Jari Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

روشنی کا پردہ ہے درمیاں ترے میرے اور پیار جاری ہے

جاوید اختر بیدی

روشنی کا پردہ ہے درمیاں ترے میرے اور پیار جاری ہے

پیار میں محبت میں ہم نہ خود کو بدلیں گے ایسی اپنی یاری ہے

ہاتھ میں جو آنکھیں ہیں ان پہ ہی فقط تکیہ کس قدر ہے نا کافی

کچھ مدد بھی لی جائے دوسروں سے اوروں سے یہ بھی ہوشیاری ہے

ڈھنگ ہے سماعت کا رنگ ہے بصارت کا بے طرح و بے معنی

ننگ کے لیے دوڑیں ہم بھی ساری دنیا میں ایک جنگ جاری ہے

سرخ لفظ ہیں میرے میں بھی شعر کہتا ہوں اور جب سناتا ہوں

کوئی بول اٹھتا ہے شعر شعر میں تیرے ایک غم گساری ہے

سر برہنہ شاخوں پر ایک دن وہ آتا ہے اور گلاب کھلتے ہیں

تجربہ ہے یہ اپنا ہم نے بھی یہاں آخر زندگی گزاری ہے

آنکھ والے ساون میں ایک بات دیکھی ہے اور کہہ بھی دوں تم سے

تشنگی مٹاتا ہے دل کی تشنگی کا یہ قدرتی شکاری ہے

بجھ رہی ہیں کیوں آنکھیں ساتھ ماہ و انجم کے کون سا یہ سورج ہے

زندگی نہ چھن جائے عارضی سی تو بیدیؔ زندگی ہماری ہے

جاوید اختر بیدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raushni Ka Parda Hai Darmiyan Tere Mere Aur Pyar Jari Hai

Javed Akhtar Bedi

raushni ka parda hai darmiyan tere mere aur pyar jari hai
pyar mein mohabbat mein hum na KHud ko badlenge aisi apni yari hai

hath mein jo aankhen hain in pe hi faqat takiya kis qadar hai na-kafi
kuchh madad bhi li jae dusron se auron se ye bhi hoshiyari hai

Dhang hai samaat ka rang hai basarat ka be-tarah-o-be-mani
nang ke liye dauDen hum bhi sari duniya mein ek jang jari hai

surKH lafz hain mere main bhi sher kahta hun aur jab sunata hun
koi bol uThta hai sher sher mein tere ek gham-gusari hai

sar barahna shaKHon par ek din wo aata hai aur gulab khilte hain
tajraba hai ye apna hum ne bhi yahan aaKHir zindagi guzari hai

aankh wale sawan mein ek baat dekhi hai aur kah bhi dun tum se
tishnagi miTata hai dil ki tishnagi ka ye qudrati shikari hai

bujh rahi hain kyon aankhen sath mah-o-anjum ke kaun sa ye suraj hai
zindagi na chhin jae aarzi si to 'bedi' zindagi hamari hai

(517) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raushni Ka Parda Hai Darmiyan Tere Mere Aur Pyar Jari Hai written by Javed Akhtar Bedi at UrduPoint. Raushni Ka Parda Hai Darmiyan Tere Mere Aur Pyar Jari Hai is one of the masterpieces written by Javed Akhtar Bedi. You can also find the complete poetry collection of Javed Akhtar Bedi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Javed Akhtar Bedi' above.

Raushni Ka Parda Hai Darmiyan Tere Mere Aur Pyar Jari Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raushni Ka Parda Hai Darmiyan Tere Mere Aur Pyar Jari Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.