Din Ke Ujale Ki Koi Haqiqat To Raat Ka Andhera Bhi Wajud Rakhta Hai, Urdu Nazam By Javed Nadeem

Din Ke Ujale Ki Koi Haqiqat To Raat Ka Andhera Bhi Wajud Rakhta Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Javed Nadeem. Din Ke Ujale Ki Koi Haqiqat To Raat Ka Andhera Bhi Wajud Rakhta Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Din Ke Ujale Ki Koi Haqiqat To Raat Ka Andhera Bhi Wajud Rakhta Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دن کے اجالے کی کوئی حقیقت تو رات کا اندھیرا بھی وجود رکھتا ہے

جاوید ندیم

دن کے اجالے کی کوئی حقیقت تو رات کا اندھیرا بھی وجود رکھتا ہے

ہم ہوا کو چھو نہیں سکتے ہوا ہمیں چھوتی ہے

میں اگر تم سے نفرت کرتا ہوں تو میرے دل میں تمہارے لئے محبت

بھی ہے

محبت اور نفرت دونوں ہی زندگی ہیں

جس طرح رات اور دن

آسائش اگر زندگی ہے تو بے مائیگی اور مصائب بھی

جاگنا زندگی ہے تو نیند اور نیند میں خوابوں کا آنا بھی

سمندر پہاڑ اگر کائنات کا جز ہیں تو ہمارے دل کی دھڑکنیں بھی

پیدائش زندگی ہے تو موت کا آخری پل بھی

ان سب چیزوں کو کیا تم زندگی سے الگ کر سکتے ہو

زندگی میں زندگی سمائی ہوئی ہے

زندگی کبھی فنا نہیں ہوتی

یہ شکلیں بدل کر تمہارے سامنے آئے گی

پیدائش اور موت زندگی کے ہی دو نام ہیں

سفر کی ابتدا و انتہا

سفر جو زندگی ہے

اور زندگی کائنات کی دوسری بڑی سچائی

موج اندر موج سمندر کی طرح اسرار خزائن لئے ہوئے

تم اگر اس دوسری بڑی سچائی کو سمجھ سکے

تو

کائنات کی پہلی بڑی سچائی تم پر خود بخود آشکار ہو جائے گی

جاوید ندیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Din Ke Ujale Ki Koi Haqiqat To Raat Ka Andhera Bhi Wajud Rakhta Hai

Javed Nadeem

din ke ujale ki koi haqiqat to raat ka andhera bhi wajud rakhta hai
hum hawa ko chhu nahin sakte hawa hamein chhuti hai
main agar tum se nafrat karta hun to mere dil mein tumhaare liye mohabbat
bhi hai
mohabbat aur nafrat donon hi zindagi hain
jis tarah raat aur din
aasaish agar zindagi hai to be-maegi aur masaib bhi
jagna zindagi hai to nind aur nind mein KHwabon ka aana bhi
samundar pahaD agar kaenat ka juz hain to hamare dil ki dhaDkanen bhi
paidaish zindagi hai to maut ka aaKHiri pal bhi
in sab chizon ko kya tum zindagi se alag kar sakte ho

zindagi mein zindagi samai hui hai
zindagi kabhi fana nahin hoti
ye shaklen badal kar tumhaare samne aaegi
paidaish aur maut zindagi ke hi do nam hain
safar ki ibtida-o-intiha
safar jo zindagi hai
aur zindagi kaenat ki dusri baDi sachchai
mauj andar mauj samundar ki tarah asrar-e-KHazain liye hue
tum agar is dusri baDi sachchai ko samajh sake
to
kaenat ki pahli baDi sachchai tum par KHud-baKHud aashkar ho jaegi

(667) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Din Ke Ujale Ki Koi Haqiqat To Raat Ka Andhera Bhi Wajud Rakhta Hai written by Javed Nadeem at UrduPoint. Din Ke Ujale Ki Koi Haqiqat To Raat Ka Andhera Bhi Wajud Rakhta Hai is one of the masterpieces written by Javed Nadeem. You can also find the complete poetry collection of Javed Nadeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Javed Nadeem' above.

Din Ke Ujale Ki Koi Haqiqat To Raat Ka Andhera Bhi Wajud Rakhta Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Din Ke Ujale Ki Koi Haqiqat To Raat Ka Andhera Bhi Wajud Rakhta Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.