Tere Jab Rang Rangte Hain To Phir Hum Raqs Karte Hain, Urdu Ghazal By Jina Quraishi

Tere Jab Rang Rangte Hain To Phir Hum Raqs Karte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jina Quraishi. Tere Jab Rang Rangte Hain To Phir Hum Raqs Karte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tere Jab Rang Rangte Hain To Phir Hum Raqs Karte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ترے جب رنگ رنگتے ہیں تو پھر ہم رقص کرتے ہیں

جینا قریشی

ترے جب رنگ رنگتے ہیں تو پھر ہم رقص کرتے ہیں

مجسم تجھ میں ڈھلتے ہیں تو پھر ہم رقص کرتے ہیں

چھنا چھن چھن چھنا چھن چھن یہ گھنگھرو سے جو من آنگن

تری یادوں کے بجتے ہیں تو پھر ہم رقص کرتے ہیں

عزیز جاں ترے غم میں ستارے جو شب ہجراں

سر مژگاں چمکتے ہیں تو پھر ہم رقص کرتے ہیں

کسی ڈھلتی ہوئی شب میں جنوں وحشت دیا اور میں

بدن سے جب نکلتے ہیں تو پھر ہم رقص کرتے ہیں

بہت چپ چاپ سہتے ہیں اذیت ہم جدائی کی

مگر حد سے گزرتے ہیں تو پھر ہم رقص کرتے ہیں

محبت کے قبیلوں سے نکل کر یہ جنوں زادے

خرد سے جب الجھتے ہیں تو پھر ہم رقص کرتے ہیں

نگاہیں کب اٹھاتے ہیں تری محفل میں ہم لیکن

جو محفل سے نکلتے ہیں تو پھر ہم رقص کرتے ہیں

غبار راہ بن کر جو ترے دیوانے ہم پاگل

تجھے چھو کر گزرتے ہیں تو پھر ہم رقص کرتے ہیں

سر دشت طلب حسرت تری اور بے بسی میری

کبھی باہم جو ملتے ہیں تو پھر ہم رقص کرتے ہیں

یہ بلے شاہ بتاتے ہیں نہ مانے یار جب جیناؔ

تبھی گھنگھرو پہنتے ہیں تو پھر ہم رقص کرتے ہیں

جینا قریشی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tere Jab Rang Rangte Hain To Phir Hum Raqs Karte Hain

Jina Quraishi

tere jab rang rangte hain to phir hum raqs karte hain
mujassam tujh mein Dhalte hain to phir hum raqs karte hain

chhana chhan-chhan chhana chhan-chhan ye ghunghru se jo man aangan
teri yaadon ke bajte hain to phir hum raqs karte hain

aziz-e-jaan tere gham mein sitare jo shab-e-hijran
sar-e-mizhgan chamakte hain to phir hum raqs karte hain

kisi Dhalti hui shab mein junun wahshat diya aur main
badan se jab nikalte hain to phir hum raqs karte hain

bahut chup-chap sahte hain aziyyat hum judai ki
magar had se guzarte hain to phir hum raqs karte hain

mohabbat ke qabilon se nikal kar ye junun-zade
KHirad se jab ulajhte hain to phir hum raqs karte hain

nigahen kab uThate hain teri mahfil mein hum lekin
jo mahfil se nikalte hain to phir hum raqs karte hain

ghubar-e-rah ban kar jo tere diwane hum pagal
tujhe chhu kar guzarte hain to phir hum raqs karte hain

sar-e-dasht-e-talab hasrat teri aur bebasi meri
kabhi baham jo milte hain to phir hum raqs karte hain

ye bulle-shah batate hain na mane yar jab 'jina'
tabhi ghunghru pahante hain to phir hum raqs karte hain

(543) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tere Jab Rang Rangte Hain To Phir Hum Raqs Karte Hain written by Jina Quraishi at UrduPoint. Tere Jab Rang Rangte Hain To Phir Hum Raqs Karte Hain is one of the masterpieces written by Jina Quraishi. You can also find the complete poetry collection of Jina Quraishi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jina Quraishi' above.

Tere Jab Rang Rangte Hain To Phir Hum Raqs Karte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tere Jab Rang Rangte Hain To Phir Hum Raqs Karte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.