Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum, Urdu Ghazal By Jitendra Mohan Sinha Rahbar

Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اک گوشۂ دل میں جو کسی کے ہیں مکیں ہم

جتیندر موہن سنہا رہبر

اک گوشۂ دل میں جو کسی کے ہیں مکیں ہم

یہ زعم ہے گویا کہ ہیں والئ زمیں ہم

جاری ہے دلوں کا تو وہی ربط نہانی

ہر چند کہیں اور ہیں وہ اور کہیں ہم

کیا ہے یہ مکاں کیا یہ دیار اور یہ جہاں کیا

یہ اوج ہے اپنا کہ جہاں وہ ہیں وہیں ہم

یہ معجزۂ عشق ہے اک زندہ حقیقت

آتے ہیں نظر آج جہاں بھر میں ہمیں ہم

واں اپنی رسائی نہ سہی در تو ہے اس کا

ہوتے نہیں اغیار سے یوں چیں بہ جبیں ہم

ہر اک میں نظر آتی ہیں کچھ اس کی ادائیں

الفت نہ کسی اور سے کر بیٹھے کہیں ہم

جو چاہے کہے ایذا دے یا کچھ کرے تذلیل

در چھوڑ کے اس کا نہیں جا سکتے کہیں ہم

پروانۂ جنت ہمیں دلواتے ہیں کیوں آپ

کہہ تو دیا سو بار کہ جائیں گے نہیں ہم

نظارۂ عالم ہے بس اک خواب پریشاں

بیدار ہوئے گر نظر آئیں گے ہمیں ہم

دنیا میں ہے نیرنگیٔ تقدیر تماشا

تھے آبلہ پا کل تو ہیں اب تخت نشیں ہم

اف اک دل رہبرؔ پہ حسینوں کی یہ تکرار

للچائیں ہمیں ہم اسے پا جائیں ہمیں ہم

جتیندر موہن سنہا رہبر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

ek gosha-e-dil mein jo kisi ke hain makin hum
ye zoam hai goya ki hain wali-e-zamin hum

jari hai dilon ka to wahi rabt-e-nihani
har-chand kahin aur hain wo aur kahin hum

kya hai ye makan kya ye dayar aur ye jahan kya
ye auj hai apna ki jahan wo hain wahin hum

ye moajaza-e-ishq hai ek zinda haqiqat
aate hain nazar aaj jahan bhar mein hamin hum

wan apni rasai na sahi dar to hai us ka
hote nahin aghyar se yun chin-ba-jabin hum

har ek mein nazar aati hain kuchh us ki adaen
ulfat na kisi aur se kar baiThe kahin hum

jo chahe kahe iza de ya kuchh kare tazlil
dar chhoD ke us ka nahin ja sakte kahin hum

parwana-e-jannat hamein dilwate hain kyun aap
kah to diya sau bar ki jaenge nahin hum

nazzara-e-alam hai bas ek KHwab-e-pareshan
bedar hue gar nazar aaenge hamin hum

duniya mein hai nairangi-e-taqdir tamasha
the aabla-pa kal to hain ab taKHt-nashin hum

uff ek dil-e-'rahbar' pe hasinon ki ye takrar
lalchaen hamin hum ise pa jaen hamin hum

(671) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar at UrduPoint. Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum is one of the masterpieces written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. You can also find the complete poetry collection of Jitendra Mohan Sinha Rahbar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jitendra Mohan Sinha Rahbar' above.

Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.