Hai Ishq Mein Nairangi-e-taslim-o-raza Aur, Urdu Ghazal By Johar Siddiqi

Hai Ishq Mein Nairangi-e-taslim-o-raza Aur is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Johar Siddiqi. Hai Ishq Mein Nairangi-e-taslim-o-raza Aur comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hai Ishq Mein Nairangi-e-taslim-o-raza Aur on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہے عشق میں نیرنگیٔ تسلیم و رضا اور

جوہر صدیقی

ہے عشق میں نیرنگیٔ تسلیم و رضا اور

کرتا ہوں اگر شکر تو سمجھے ہے گلہ اور

رندوں کی نوا اور ہے ساقی کی نوا اور

یا رب سر مے خانہ کوئی مست گھٹا اور

افسانۂ غم اتنا تو دلچسپ نہیں تھا

جب میں نے کیا ختم تو ظالم نے کہا اور

دل حیلۂ انکار جنوں ڈھونڈ رہا ہے

ہاں میرے لئے کچھ شکن زلف دوتا اور

جب صبر کا یارا ہے تو پھر غم کا مزہ کیا

غم ہی مری قسمت ہے تو اے میرے خدا اور

منزل ہے ذرا دور ابھی کیف بلا کی

اے رند خوش انجام کوئی لغزش پا اور

ہے کچھ تو سبب کشمکش شوق کا آخر

تم نے ہی کہا اور کہ میں نے ہی سنا اور

دل محویت غم میں ہوا صبح فراموش

اے شیخ حرم آج مؤذن کی صدا اور

یا رب مری نیت کی خبر تجھ کو تو ہوگی

میں یہ نہیں کہتا کہ فرشتوں نے لکھا اور

کیا جانے کہاں ختم ہو اشکوں کی کہانی

پھر ان کے تبسم سے اک افسانہ چھڑا اور

محروم محبت اسے کیا سمجھے گا جوہرؔ

گلشن کی ہوا اور ہے دامن کی ہوا اور

جوہر صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hai Ishq Mein Nairangi-e-taslim-o-raza Aur

Johar Siddiqi

hai ishq mein nairangi-e-taslim-o-raza aur
karta hun agar shukr to samjhe hai gila aur

rindon ki nawa aur hai saqi ki nawa aur
ya-rab sar-e-mai-KHana koi mast ghaTa aur

afsana-e-gham itna to dilchasp nahin tha
jab main ne kiya KHatm to zalim ne kaha aur

dil hila-e-inkar-e-junun DhunD raha hai
han mere liye kuchh shikan-e-zulf-e-dota aur

jab sabr ka yara hai to phir gham ka maza kya
gham hi meri qismat hai to ai mere KHuda aur

manzil hai zara dur abhi kaif-e-bala ki
ai rind-e-KHush-anjam koi laghzish-e-pa aur

hai kuchh to sabab kashmakash-e-shauq ka aaKHir
tum ne hi kaha aur ki main ne hi suna aur

dil mahwiyat-e-gham mein hua subh-faramosh
ai shaiKH-e-haram aaj muazzin ki sada aur

ya-rab meri niyyat ki KHabar tujh ko to hogi
main ye nahin kahta ki farishton ne likha aur

kya jaane kahan KHatm ho ashkon ki kahani
phir un ke tabassum se ek afsana chhiDa aur

mahrum-e-mohabbat ise kya samjhega 'jauhar'
gulshan ki hawa aur hai daman ki hawa aur

(540) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hai Ishq Mein Nairangi-e-taslim-o-raza Aur written by Johar Siddiqi at UrduPoint. Hai Ishq Mein Nairangi-e-taslim-o-raza Aur is one of the masterpieces written by Johar Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Johar Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Johar Siddiqi' above.

Hai Ishq Mein Nairangi-e-taslim-o-raza Aur is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hai Ishq Mein Nairangi-e-taslim-o-raza Aur, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.