Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana, Urdu Ghazal By Jurat Qalandar Bakhsh

Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jurat Qalandar Bakhsh. Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

در تک اب چھوڑ دیا گھر سے نکل کر آنا

جرأت قلندر بخش

در تک اب چھوڑ دیا گھر سے نکل کر آنا

یا وہ راتوں کو سدا بھیس بدل کر آنا

ہمدمو یہ کوئی رونا ہے کہ طوفان ہے آہ

دیکھیو چشم سے دریا کا ابل کر آنا

قصد جب جانے کا کرتا ہوں میں اس شوخ کے پاس

تیغ ابرو یہ کہے ہے کہ سنبھل کر آنا

حاصل اس کوچے میں جانے سے ہمیں ہے اور کیا

الٹے گھر اپنے مگر خاک میں رل کر آنا

واں سے اول دل بے تاب تو کب آتا ہے

اور آنا بھی تو سو جا پہ مچل کر آنا

ہمدمو میری سفارش کو تو جاتے ہو ولے

کہیں واں جا کے نہ کچھ اور خلل کر آنا

ڈوبے یوں بحر محبت میں کہ اب جیتے جی

اپنا دشوار ہے اوپر کو اچھل کر آنا

کوئے قاتل میں دم نزع کوئی لے جاؤ

جا کے اس جا ہمیں عقدہ ہے یہ حل کر آنا

اس کا بے وجہ نہیں ہے یہ چمن سے باہر

گل مرے سامنے ہاتھوں میں مسل کر آنا

بزم خوباں میں اگرچہ کوئی پرچائے ہزار

پر ترے پاس ہمیں واں سے بھی ٹل کر آنا

جی چلا تن سے مرے جلد ز راہ اشفاق

گھر سے دو چار قدم ایسے میں چل کر آنا

جرأتؔ اس کی کہوں کیا تجھ سے طرح داری میں

جانا جب اٹھ کے تب اک روپ بدل کر آنا

جرأت قلندر بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana

Jurat Qalandar Bakhsh

dar tak ab chhoD diya ghar se nikal kar aana
ya wo raaton ko sada bhes badal kar aana

hamdamo ye koi rona hai ki tufan hai aah
dekhiyo chashm se dariya ka ubal kar aana

qasd jab jaane ka karta hun main us shoKH ke pas
tegh-e-abru ye kahe hai ki sambhal kar aana

hasil us kuche mein jaane se hamein hai aur kya
ulTe ghar apne magar KHak mein ral kar aana

wan se awwal dil-e-be-tab tu kab aata hai
aur aana bhi to sau ja pe machal kar aana

hamdamo meri sifarish ko to jate ho wale
kahin wan ja ke na kuchh aur KHalal kar aana

Dube yun bahr-e-mohabbat mein ki ab jite-ji
apna dushwar hai upar ko uchhal kar aana

ku-e-qatil mein dam-e-naza koi le jao
ja ke us ja hamein uqda hai ye hal kar aana

us ka be-wajh nahin hai ye chaman se bahar
gul mere samne hathon mein masal kar aana

bazm-e-KHuban mein agarche koi parchae hazar
par tere pas hamein wan se bhi Tal kar aana

ji chala tan se mere jald ze-rah-e-ashfaq
ghar se do chaar qadam aise mein chal kar aana

'jurat' us ki kahun kya tujh se tarah-dari main
jaana jab uTh ke tab ek rup badal kar aana

(403) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana written by Jurat Qalandar Bakhsh at UrduPoint. Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana is one of the masterpieces written by Jurat Qalandar Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jurat Qalandar Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jurat Qalandar Bakhsh' above.

Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dar Tak Ab ChhoD Diya Ghar Se Nikal Kar Aana, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.