Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun, Urdu Ghazal By Jurat Qalandar Bakhsh

Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jurat Qalandar Bakhsh. Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیوں کر گلی میں اس کی میں اے ہم رہاں رہوں

جرأت قلندر بخش

کیوں کر گلی میں اس کی میں اے ہم رہاں رہوں

اس آرزوئے دل پہ ہے واں تو نہ ''ہاں'' نہ ''ہوں''

پاتا ہوں میں جہاں اسے ہوتے ہیں واں مخل

حیراں ہوں اب کہ راز دل اس سے کہاں کہوں

بس بند کر زباں کہ سنے اے زباں دراز

کب تک تری زباں سے کوئی کم زباں زبوں

شہر طرب سے شکل گنہ گار دل مرا

آخر ہوا بہ دوستیٔ دل براں بروں

ظاہر ہے قتل عاشق مضطر کہ خوں سے سرخ

ہے قصر خانہ کا ترے اے دل ستاں ستوں

قائل بہ دل ہوں تب عمل حب کا میں کہ جب

اس شوخ سے بہ جد و کد عاملاں ملوں

بے یار جب لگے مجھے زنداں سے گھر بتر

برباد کیونکہ عشق میں پھر خانداں نہ دوں

کیا خاک آب داریٔ تیغ اس سے ہو کہ ہے

وہ چشم سرمہ سا جو بہ سنگ فساں فسوں

جرأتؔ ز بس ہیں اہل جہاں حرف نا شنو

داخل سخن میں کیونکہ بہ گوش گراں کروں

جرأت قلندر بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun

Jurat Qalandar Bakhsh

kyunkar gali mein is ki main ai ham-rahan rahun
is aarzu-e-dil pe hai wan to na han na hun

pata hun main jahan use hote hain wan muKHil
hairan hun ab ki raaz-e-dil us se kahan kahun

bas band kar zaban ki sune ai zaban-daraaz
kab tak teri zaban se koi kam zaban-zubun

shahr-e-tarab se shakl-e-gunahgar dil mera
aaKHir hua ba-dosti-e-dil-baran barun

zahir hai qatl-e-ashiq-e-muztar ki KHun se surKH
hai qasr-e-KHana ka tere ai dil-sitan sutun

qail ba-dil hun tab amal-e-hub ka main ki jab
us shoKH se ba-jadd-o-kad-e-amilan milun

be-yar jab lage mujhe zindan se ghar batar
barbaad kyunki ishq mein phir KHandan na dun

kya KHak aab-dari-e-tegh us se ho ki hai
wo chashm-e-surma-sa jo ba-sang-e-fasan fusun

'jurat' zi-bas hain ahl-e-jahan harf-e-na-shunu
daKHil suKHan main kyunki ba-gosh-e-giran karun

(486) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun written by Jurat Qalandar Bakhsh at UrduPoint. Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun is one of the masterpieces written by Jurat Qalandar Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jurat Qalandar Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jurat Qalandar Bakhsh' above.

Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kyunkar Gali Mein Isko Main Ai Ham-rahan Rahun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.