Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya, Urdu Ghazal By Jurat Qalandar Bakhsh

Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jurat Qalandar Bakhsh. Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سچ تو یہ ہے بے جگہ ربط ان دنوں پیدا کیا

جرأت قلندر بخش

سچ تو یہ ہے بے جگہ ربط ان دنوں پیدا کیا

سوچ ہے ہر دم یہی ہم کو کہ ہم نے کیا کیا

وہ گیا اٹھ کر جدھر کو میں ادھر حیران سا

اس کے جانے پر بھی کتنی دیر تک دیکھا کیا

میری اور اس شوخ کی صاحب سلامت جو ہوئی

صبر و طاقت نے کہا لو ہم نے تو مجرا کیا

سیر گل کرتا تھا وہ اور آہ بیتابی سے میں

ہر طرف گلشن میں جوں آب رواں دوڑا کیا

جب تلک کرتے رہے مذکورہ اس کا مجھ سے لوگ

جی میں کچھ سوچا کیا میں اور دل دھڑکا کیا

درد دل کہنا مرا شاید کہ اس نے سن لیا

ورنہ کیوں مجھ کو دھراتا ہے بھلا اچھا کیا

دم بہ دم حسرت سے دیکھوں کیوں نہ سوئے چرخ میں

اس نے اوروں کا کیا اس کو ہمیں جس کا کیا

دل ملے پر بھی ملاپ ایسی جگہ ہوتے رہے

جو ادھر تڑپا کیے ہم وہ ادھر تڑپا کیا

مل گئے تھے ایک بار اس کے جو میرے لب سے لب

عمر بھر ہونٹوں پہ اپنے میں زباں پھیرا کیا

بس کہ ہے وہ شہرۂ آفاق اس کے واسطے

یہ دل دیوانہ کس کس شخص سے جھگڑا کیا

سوزش دل کیا کہوں میں جب تلک جیتا رہا

ایک انگارا سا پہلو میں مرے دہکا کیا

عشق بازی میں کہا جرأتؔ کو سب نے دیکھ کر

یہ عزیز اپنی ہمیشہ جان پر کھیلا کیا

جرأت قلندر بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya

Jurat Qalandar Bakhsh

sach to ye hai be-jagah rabt in dinon paida kiya
soch hai har dam yahi hum ko ki hum ne kya kiya

wo gaya uTh kar jidhar ko main adhar hairan sa
us ke jaane par bhi kitni der tak dekha kiya

meri aur us shoKH ki sahib-salamat jo hui
sabr o taqat ne kaha lo hum ne to mujra kiya

sair-e-gul karta tha wo aur aah betabi se main
har taraf gulshan mein jun aab-e-rawan dauDa kiya

jab talak karte rahe mazkura us ka mujh se log
ji mein kuchh socha kiya main aur dil dhaDka kiya

dard-e-dil kahna mera shayad ki us ne sun liya
warna kyun mujh ko dharaata hai bhala achchha kiya

dam-ba-dam hasrat se dekhun kyun na su-e-charKH main
us ne auron ka kiya us ko hamein jis ka kiya

dil mile par bhi milap aisi jagah hote rahe
jo idhar taDpa kiye hum wo udhar taDpa kiya

mil gae the ek bar us ke jo mere lab se lab
umr bhar honTon pe apne main zaban phera kiya

bas ki hai wo shohra-e-afaq us ke waste
ye dil-e-diwana kis kis shaKHs se jhagDa kiya

sozish-e-dil kya kahun main jab talak jita raha
ek angara sa pahlu mein mere dahka kiya

ishq-bazi mein kaha 'jurat' ko sab ne dekh kar
ye aziz apni hamesha jaan par khela kiya

(543) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya written by Jurat Qalandar Bakhsh at UrduPoint. Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya is one of the masterpieces written by Jurat Qalandar Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jurat Qalandar Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jurat Qalandar Bakhsh' above.

Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sach To Ye Hai Be-jagah Rabt In Dinon Paida Kiya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.