Fareb-e-ulfat Ki Dastan Mein Asar Ki Ummid Hi Kahan Hai, Urdu Ghazal By Jurm Mohammadabadi

Fareb-e-ulfat Ki Dastan Mein Asar Ki Ummid Hi Kahan Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jurm Mohammadabadi. Fareb-e-ulfat Ki Dastan Mein Asar Ki Ummid Hi Kahan Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Fareb-e-ulfat Ki Dastan Mein Asar Ki Ummid Hi Kahan Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فریب الفت کی داستاں میں اثر کی امید ہی کہاں ہے

جرم محمد آبادی

فریب الفت کی داستاں میں اثر کی امید ہی کہاں ہے

ابھی تو مجھ کو اسی میں شک ہے یقیں یقیں ہے گماں گماں ہے

مجھی تک ان کی جفا نہ سمجھو یہ امتحاں ہے وہ امتحاں ہے

وہیں قیامت کا سامنا ہے وفا کی منزل جہاں جہاں ہے

نصاب الفت سے بے خبر ہے سند نہیں بوالہوس کا دعویٰ

جو لفظ میری زباں سے نکلے وہی محبت کی داستاں ہے

کہاں پہنچ کی آرزو ہے تمہارے نقش قدم پہ چل کر

تم اپنے دل سے پتا لگاؤ مری تمنا کی حد کہاں ہے

فریب بن کر نشاط دل کا رہے گا کب تک یہ عیش رفتہ

بدل چکا کروٹیں زمانہ مری نظر میں وہی سماں ہے

ادھر امنگوں کی لہر دل میں ادھر جوانی کی خود نمائی

پڑے ہیں اک کشمکش میں دونوں مذاق فطرت کا امتحاں ہے

تمہاری غفلت شعاریوں نے وہ گل کھلائے کہ رنگ بدلا

قفس کی بنیاد رکھنے والے خزاں کے قبضے میں آشیاں ہے

پلٹ گیا جرمؔ رخ ہوا کا ہیں ایسے آثار اب ہویدا

بہار آئے نہ بعد جس کے چمن میں وہ محشر خزاں ہے

جرم محمد آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Fareb-e-ulfat Ki Dastan Mein Asar Ki Ummid Hi Kahan Hai

Jurm Mohammadabadi

fareb-e-ulfat ki dastan mein asar ki ummid hi kahan hai
abhi to mujh ko isi mein shak hai yaqin yaqin hai guman guman hai

mujhi tak un ki jafa na samjho ye imtihan hai wo imtihan hai
wahin qayamat ka samna hai wafa ki manzil jahan jahan hai

nisab-e-ulfat se be-KHabar hai sanad nahin bul-hawas ka dawa
jo lafz meri zaban se nikle wahi mohabbat ki dastan hai

kahan pahunch ki aarzu hai tumhaare naqsh-e-qadam pe chal kar
tum apne dil se pata lagao meri tamanna ki had kahan hai

fareb ban kar nashat-e-dil ka rahega kab tak ye aish-e-rafta
badal chuka karwaTen zamana meri nazar mein wahi saman hai

idhar umangon ki lahar dil mein udhar jawani ki KHud-numai
paDe hain ek kashmakash mein donon mazaq-e-fitrat ka imtihan hai

tumhaari ghaflat-shiariyon ne wo gul khilae ki rang badla
qafas ki buniyaad rakhne wale KHizan ke qabze mein aashiyan hai

palaT gaya 'jurm' ruKH hawa ka hain aise aasar ab huwaida
bahaar aae na baad jis ke chaman mein wo mahshar-e-KHizan hai

(423) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Fareb-e-ulfat Ki Dastan Mein Asar Ki Ummid Hi Kahan Hai written by Jurm Mohammadabadi at UrduPoint. Fareb-e-ulfat Ki Dastan Mein Asar Ki Ummid Hi Kahan Hai is one of the masterpieces written by Jurm Mohammadabadi. You can also find the complete poetry collection of Jurm Mohammadabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jurm Mohammadabadi' above.

Fareb-e-ulfat Ki Dastan Mein Asar Ki Ummid Hi Kahan Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Fareb-e-ulfat Ki Dastan Mein Asar Ki Ummid Hi Kahan Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.