Apni Qismat Mein Agar Aish Ke Saman Hote, Urdu Ghazal By Kanval M A

Apni Qismat Mein Agar Aish Ke Saman Hote is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kanval M A. Apni Qismat Mein Agar Aish Ke Saman Hote comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Apni Qismat Mein Agar Aish Ke Saman Hote on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اپنی قسمت میں اگر عیش کے ساماں ہوتے

کنول ایم۔اے

اپنی قسمت میں اگر عیش کے ساماں ہوتے

عین ممکن تھا کہ ہم اور پریشاں ہوتے

باغباں ناز نہ کر اپنے چمن زاروں پر

ہم نے دیکھے ہیں چمن زار بیاباں ہوتے

اور ہی ڈھنگ سے تنظیم گلستاں ہوتی

دور اندیش اگر اہل گلستاں ہوتے

یہی دنیا جو جہنم ہے وہ جنت ہوتی

اپنے کردار سے انساں اگر انساں ہوتے

شاخ نازک پہ کھلے ہی تھے کہ مرجھا بھی گئے

ایک دن پھول یہی شان بہاراں ہوتے

اپنے ہی گھر کی کسی شے پہ نہیں حق اپنا

اس سے بہتر تھا کہ ہم بے سر و ساماں ہوتے

ہم نے ہر جور سہا ان کا خوشی سے لیکن

کاش وہ اپنی جفاؤں پہ پشیماں ہوتے

کوئی خوبی نہ کوئی وصف نہ کوئی جوہر

ہم اگر ہوتے تو کس بات پہ نازاں ہوتے

طبع موزوں میں اگر زور بیاں بھی ہوتا

ہم بھی اوروں کی طرح شعلہ بداماں ہوتے

اے کنولؔ پائے طلب ہی میں تھی لغزش ورنہ

مرحلے جو بھی تھے اس راہ میں آساں ہوتے

کنول ایم۔اے

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Apni Qismat Mein Agar Aish Ke Saman Hote

Kanval M A

apni qismat mein agar aish ke saman hote
ain mumkin tha ki hum aur pareshan hote

baghban naz na kar apne chaman-zaron par
hum ne dekhe hain chaman-zar bayaban hote

aur hi Dhang se tanzim-e-gulistan hoti
dur-andesh agar ahl-e-gulistan hote

yahi duniya jo jahannum hai wo jannat hoti
apne kirdar se insan agar insan hote

shaKH-e-nazuk pe khule hi the ki murjha bhi gae
ek din phul yahi shan-e-bahaaran hote

apne hi ghar ki kisi shai pe nahin haq apna
is se behtar tha ki hum be-sar-o-saman hote

hum ne har jaur saha un ka KHushi se lekin
kash wo apni jafaon pe pasheman hote

koi KHubi na koi wasf na koi jauhar
hum agar hote to kis baat pe nazan hote

taba mauzun mein agar zor-e-bayan bhi hota
hum bhi auron ki tarah shoala-ba-daman hote

ai 'kanwal' pa-e-talab hi mein thi laghzish warna
marhale jo bhi the is rah mein aasan hote

(512) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Apni Qismat Mein Agar Aish Ke Saman Hote written by Kanval M A at UrduPoint. Apni Qismat Mein Agar Aish Ke Saman Hote is one of the masterpieces written by Kanval M A. You can also find the complete poetry collection of Kanval M A by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kanval M A' above.

Apni Qismat Mein Agar Aish Ke Saman Hote is a widely read Urdu Ghazal. If you like Apni Qismat Mein Agar Aish Ke Saman Hote, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.