Huk UThti Hai Mere Qalb Ki Gahrai Mein, Urdu Ghazal By Kaukab Zaki

Huk UThti Hai Mere Qalb Ki Gahrai Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kaukab Zaki. Huk UThti Hai Mere Qalb Ki Gahrai Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Huk UThti Hai Mere Qalb Ki Gahrai Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہوک اٹھتی ہے مرے قلب کی گہرائی میں

کوکب ذکی

ہوک اٹھتی ہے مرے قلب کی گہرائی میں

اس کی یاد آتی ہے جب رات کی تنہائی میں

اب تو دو وقت کی روٹی بھی نہیں ملتی ہے

زندگی کیسے کٹے گی مری مہنگائی میں

آج آیا وہ مرے گھر تو یہ محسوس ہوا

ماہتاب اترا ہو جیسے مری انگنائی میں

میری آنکھوں سے نکل آئے خوشی کے آنسو

بیٹی رخصت جو ہوئی گونجتی شہنائی میں

گھر میں مہماں اگر آئیں تو خوشی ہوتی ہے

میں کسر کچھ نہیں رکھتا ہوں پذیرائی میں

نہ تو روٹی ہی میسر ہے نہ کپڑا نہ مکاں

زندگی یوں بھی گزر جاتی ہے کٹھنائی میں

حسن ایسا ہے کہ آئینے کو حیراں کر دے

اک وفا کی ہی کمی ہے مرے ہرجائی میں

کیسے اشعار میں لائے گا غزل کی خوشبو

وہ جو مصروف ہے بس قافیہ پیمائی میں

داخلہ میرا ہی ممنوع ہے گلشن میں ذکیؔ

جب کہ خوں میں نے دیا باغ کی زیبائی میں

اے ذکیؔ میں نے بھی یہ خواہ نہیں سمجھا تھا

ان کی سازش رہی شامل مری پسپائی میں

کوکب ذکی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Huk UThti Hai Mere Qalb Ki Gahrai Mein

Kaukab Zaki

huk uThti hai mere qalb ki gahrai mein
us ki yaad aati hai jab raat ki tanhai mein

ab to do waqt ki roTi bhi nahin milti hai
zindagi kaise kaTegi meri mahngai mein

aaj aaya wo mere ghar to ye mahsus hua
mahtab utra ho jaise meri angnai mein

meri aankhon se nikal aae KHushi ke aansu
beTi ruKHsat jo hui gunjti shahnai mein

ghar mein mehman agar aaen to KHushi hoti hai
main kasar kuchh nahin rakhta hun pazirai mein

na to roTi hi mayassar hai na kapDa na makan
zindagi yun bhi guzar jati hai kaThinai mein

husn aisa hai ki aaine ko hairan kar de
ek wafa ki hi kami hai mere harjai mein

kaise ashaar mein laega ghazal ki KHushbu
wo jo masruf hai bas qafiya paimai mein

daKHila mera hi mamnua hai gulshan mein 'zaki'
jab ki KHun main ne diya bagh ki zebai mein

ai 'zaki' main ne bhi ye KHwah nahin samjha tha
un ki sazish rahi shamil meri paspai mein

(578) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Huk UThti Hai Mere Qalb Ki Gahrai Mein written by Kaukab Zaki at UrduPoint. Huk UThti Hai Mere Qalb Ki Gahrai Mein is one of the masterpieces written by Kaukab Zaki. You can also find the complete poetry collection of Kaukab Zaki by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kaukab Zaki' above.

Huk UThti Hai Mere Qalb Ki Gahrai Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Huk UThti Hai Mere Qalb Ki Gahrai Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.