Anjam Shab-e-gham Ka Likha Aur Hi Kuchh Hai, Urdu Ghazal By Kausar Siddiqi

Anjam Shab-e-gham Ka Likha Aur Hi Kuchh Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kausar Siddiqi. Anjam Shab-e-gham Ka Likha Aur Hi Kuchh Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Anjam Shab-e-gham Ka Likha Aur Hi Kuchh Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

انجام شب غم کا لکھا اور ہی کچھ ہے

کوثر صدیقی

انجام شب غم کا لکھا اور ہی کچھ ہے

لگتا ہے کہ منظور خدا اور ہی کچھ ہے

شاید ابھی تشخیص مرض ہو نہیں پائی

بیماری ہے کچھ اور دوا اور ہی کچھ ہے

سب پیار کی تشہیر کیا کرتے ہیں لیکن

ماحول ہے کچھ اور فضا اور ہی کچھ ہے

نافہم اگر نغمہ سمجھتے ہیں تو سمجھیں

گلشن میں عنادل کی نوا اور ہی کچھ ہے

گہوارۂ ہر شاخ میں گل ہے ابھی بے چین

گلشن کی ابھی آب و ہوا اور ہی کچھ ہے

ہر گام پہ چبھنے لگے کیوں پاؤں میں کانٹے

نیچے روش گل کے بچھا اور ہی کچھ ہے

دنیا میں ہر اک شے کے مقدر میں ہے جلنا

جلنے کی مگر سب کی ادا اور ہی کچھ ہے

معلوم ہے جلتا ہے چراغوں میں فقط تیل

لیکن تری محفل میں جلا اور ہی کچھ ہے

ہونٹوں پہ تبسم لیے پھرتے رہو کوثرؔ

چہرے پہ مگر حال لکھا اور ہی کچھ ہے

کوثر صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Anjam Shab-e-gham Ka Likha Aur Hi Kuchh Hai

Kausar Siddiqi

anjam shab-e-gham ka likha aur hi kuchh hai
lagta hai ki manzur-e-KHuda aur hi kuchh hai

shayad abhi tashKHis-e-maraz ho nahin pai
bimari hai kuchh aur dawa aur hi kuchh hai

sab pyar ki tashhir kiya karte hain lekin
mahaul hai kuchh aur faza aur hi kuchh hai

na-fahm agar naghma samajhte hain to samjhen
gulshan mein anadil ki nawa aur hi kuchh hai

gahwara-e-har-shaKH mein gul hai abhi bechain
gulshan ki abhi aab-o-hawa aur hi kuchh hai

har gam pe chubhne lage kyon panw mein kanTe
niche rawish-e-gul ke bichha aur hi kuchh hai

duniya mein har ek shai ke muqaddar mein hai jalna
jalne ki magar sab ki ada aur hi kuchh hai

malum hai jalta hai charaghon mein faqat tel
lekin teri mahfil mein jala aur hi kuchh hai

honTon pe tabassum liye phirte raho 'kausar'
chehre pe magar haal likha aur hi kuchh hai

(734) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Anjam Shab-e-gham Ka Likha Aur Hi Kuchh Hai written by Kausar Siddiqi at UrduPoint. Anjam Shab-e-gham Ka Likha Aur Hi Kuchh Hai is one of the masterpieces written by Kausar Siddiqi. You can also find the complete poetry collection of Kausar Siddiqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kausar Siddiqi' above.

Anjam Shab-e-gham Ka Likha Aur Hi Kuchh Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Anjam Shab-e-gham Ka Likha Aur Hi Kuchh Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.