Gul Ne Jab IKHtiyar Ki Aawaz, Urdu Ghazal By Kazim Jarwali

Gul Ne Jab IKHtiyar Ki Aawaz is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kazim Jarwali. Gul Ne Jab IKHtiyar Ki Aawaz comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gul Ne Jab IKHtiyar Ki Aawaz on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گل نے جب اختیار کی آواز

کاظم جرولی

گل نے جب اختیار کی آواز

اور مہکی بہار کی آواز

کب سنیں گی ہمارے رشتوں کی

سوکھی شاخیں بہار کی آواز

آنے والا ہے کون سا موسم

گل سے آتی ہے خار کی آواز

پتھروں پر اثر نہیں کرتی

جھیل دریا چنار کی آواز

جانے کس سمت کس سمندر میں

سو گئی آبشار کی آواز

کر گئی ہے سماعتیں مجروح

ٹوٹتے اعتبار کی آواز

کل انہیں بام و در سے آئے گی

میرے نقش و نگار کی آواز

اب تو آنے لگی ہے آنکھوں سے

نیند کے انتظار کی آواز

تو مقرر ہے کس زمانے کا

تجھ سے آتی ہے دار کی آواز

خنجروں کے بدل گئے لہجے

اک غریب الدیار کی آواز

قافلے کا پتا بتائے کون

چپ ہے صحرا غبار کی آواز

تیرے ہر شعر کا ہے اے کاظمؔ

حرف تنہا ہزار کی آواز

کاظم جرولی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gul Ne Jab IKHtiyar Ki Aawaz

Kazim Jarwali

gul ne jab iKHtiyar ki aawaz
aur mahki bahaar ki aawaz

kab sunengi hamare rishton ki
sukhi shaKHen bahaar ki aawaz

aane wala hai kaun sa mausam
gul se aati hai KHar ki aawaz
pattharon par asar nahin karti
jhil dariya chinar ki aawaz
jaane kis samt kis samundar mein
so gai aabshaar ki aawaz
kar gai hai samaaten majruh
TuTte e'tibar ki aawaz
kal inhin baam-o-dar se aaegi
mere naqsh-o-nigar ki aawaz
ab to aane lagi hai aankhon se
nind ke intizar ki aawaz
tu muqarrir hai kis zamane ka
tujh se aati hai dar ki aawaz
KHanjaron ke badal gae lahje
ek gharib-ud-dayar ki aawaz
qafile ka pata batae kaun
chup hai sahra ghubar ki aawaz
tere har sher ka hai ai 'kazim'
harf-e-tanha hazar ki aawaz

(526) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gul Ne Jab IKHtiyar Ki Aawaz written by Kazim Jarwali at UrduPoint. Gul Ne Jab IKHtiyar Ki Aawaz is one of the masterpieces written by Kazim Jarwali. You can also find the complete poetry collection of Kazim Jarwali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kazim Jarwali' above.

Gul Ne Jab IKHtiyar Ki Aawaz is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gul Ne Jab IKHtiyar Ki Aawaz, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.