Hum Andhere Mein Aa Nahin Sakte, Urdu Ghazal By Kazim Jarwali

Hum Andhere Mein Aa Nahin Sakte is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kazim Jarwali. Hum Andhere Mein Aa Nahin Sakte comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hum Andhere Mein Aa Nahin Sakte on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہم اندھیرے میں آ نہیں سکتے

کاظم جرولی

ہم اندھیرے میں آ نہیں سکتے

اپنا سایہ مٹا نہیں سکتے

آندھیاں چھین لے گئیں پتے

اب شجر گنگنا نہیں سکتے

موجیں اپنی ہیں اپنا دریا ہے

پیاس پھر بھی بجھا نہیں سکتے

چھیننے والو دوسروں کی خوشی

تم کبھی مسکرا نہیں سکتے

پھول کاغذ کے اپنے ہونٹوں تک

تتلیوں کو بلا نہیں سکتے

قاتلو ننھے جگنوؤں کا لہو

روشنی ہے چھپا نہیں سکتے

جن کی آنکھوں کے خواب زندہ ہیں

ان کو قصے سلا نہیں سکتے

وقت کے ہاتھ بھی کبھی کاظمؔ

نقش میرے مٹا نہیں سکتے

کاظم جرولی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hum Andhere Mein Aa Nahin Sakte

Kazim Jarwali

hum andhere mein aa nahin sakte
apna saya miTa nahin sakte

aandhiyan chhin le gain patte
ab shajar gunguna nahin sakte

maujen apni hain apna dariya hai
pyas phir bhi bujha nahin sakte

chhinne walo dusron ki KHushi
tum kabhi muskura nahin sakte

phul kaghaz ke apne honTon tak
titliyon ko bula nahin sakte

qatilo nanhe jugnuon ka lahu
raushni hai chhupa nahin sakte

jin ki aankhon ke KHwab zinda hain
un ko qisse sula nahin sakte

waqt ke hath bhi kabhi 'kazim'
naqsh mere miTa nahin sakte

(479) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hum Andhere Mein Aa Nahin Sakte written by Kazim Jarwali at UrduPoint. Hum Andhere Mein Aa Nahin Sakte is one of the masterpieces written by Kazim Jarwali. You can also find the complete poetry collection of Kazim Jarwali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kazim Jarwali' above.

Hum Andhere Mein Aa Nahin Sakte is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hum Andhere Mein Aa Nahin Sakte, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.