Dhoka Bhi Nahin Tha Koi Unwan Bhi Nahin Tha, Urdu Ghazal By Khalid Fatehpuri

Dhoka Bhi Nahin Tha Koi Unwan Bhi Nahin Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khalid Fatehpuri. Dhoka Bhi Nahin Tha Koi Unwan Bhi Nahin Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dhoka Bhi Nahin Tha Koi Unwan Bhi Nahin Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دھوکا بھی نہیں تھا کوئی عنواں بھی نہیں تھا

خالد فتح پوری

دھوکا بھی نہیں تھا کوئی عنواں بھی نہیں تھا

ایسے میں جئے جانے کا امکاں بھی نہیں تھا

کیا جانئے کیا سوچ کے واں ڈوب گئے ہم

دریا میں تو اس دم کہیں طوفاں بھی نہیں تھا

آباد سرابوں سے سدا اس کا جہاں تھا

صحرا مرے دل سا کبھی ویراں بھی نہیں تھا

اک بات تھی یہ ہم اسے سوچیں کہ نہ سوچیں

ہاں اس کے سوا مسئلۂ جاں بھی نہیں تھا

یہ جان کے وہ رقص کیا اہل جنوں نے

جو ہاتھ لگا ان کے گریباں بھی نہیں تھا

ہر سانس نکلتی ہے تری یاد میں ڈوبی

اور بھول کے جینا تجھے آساں بھی نہیں تھا

کچھ پھول شگفتہ مرے ہونٹوں پہ سجے ہیں

آئینہ مجھے دیکھ کے حیراں بھی نہیں تھا

پھولوں کے لہو سے یہ چمن زار تھا روشن

گلشن میں کہیں خار مغیلاں بھی نہیں تھا

ہے بات بڑی جان مری کام تو آئی

وہ قتل مجھے کر کے پشیماں بھی نہیں تھا

ان مست نگاہوں کے اشاروں کو سمجھنا

مشکل بھی نہیں تھا کوئی آساں بھی نہیں تھا

دنیا یہ بھلا کیوں مرے قدموں میں پڑی ہے

میں اس کے لئے اتنا پریشاں بھی نہیں تھا

پلکوں کو سکھا دیتے رہ و رسم بھی خالدؔ

تھی ہجر کی شب اور چراغاں بھی نہیں تھا

خالد فتح پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dhoka Bhi Nahin Tha Koi Unwan Bhi Nahin Tha

Khalid Fatehpuri

dhoka bhi nahin tha koi unwan bhi nahin tha
aise mein jiye jaane ka imkan bhi nahin tha

kya jaaniye kya soch ke wan Dub gae hum
dariya mein to is dam kahin tufan bhi nahin tha

aabaad sarabon se sada is ka jahan tha
sahra mere dil sa kabhi viran bhi nahin tha

ek baat thi ye hum use sochen ki na sochen
han is ke siwa masala-e-jaan bhi nahin tha

ye jaan ke wo raqs kiya ahl-e-junun ne
jo hath laga un ke gareban bhi nahin tha

har sans nikalti hai teri yaad mein Dubi
aur bhul ke jina tujhe aasan bhi nahin tha

kuchh phul shagufta mere honTon pe saje hain
aaina mujhe dekh ke hairan bhi nahin tha

phulon ke lahu se ye chaman-zar tha raushan
gulshan mein kahin KHar-e-mughilan bhi nahin tha

hai baat baDi jaan meri kaam to aai
wo qatl mujhe kar ke pasheman bhi nahin tha

in mast nigahon ke ishaaron ko samajhna
mushkil bhi nahin tha koi aasan bhi nahin tha

duniya ye bhala kyun mere qadmon mein paDi hai
main is ke liye itna pareshan bhi nahin tha

palkon ko sikha dete rah-o-rasm bhi 'KHalid'
thi hijr ki shab aur charaghan bhi nahin tha

(761) ووٹ وصول ہوئے

You can read Dhoka Bhi Nahin Tha Koi Unwan Bhi Nahin Tha written by Khalid Fatehpuri at UrduPoint. Dhoka Bhi Nahin Tha Koi Unwan Bhi Nahin Tha is one of the masterpieces written by Khalid Fatehpuri. You can also find the complete poetry collection of Khalid Fatehpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalid Fatehpuri' above.

Dhoka Bhi Nahin Tha Koi Unwan Bhi Nahin Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dhoka Bhi Nahin Tha Koi Unwan Bhi Nahin Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.