Ek Desi Hasina Se Mulaqat, Urdu Nazam By Khalid Irfan

Ek Desi Hasina Se Mulaqat is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Khalid Irfan. Ek Desi Hasina Se Mulaqat comes under the Funny category of Urdu Nazam. You can read Ek Desi Hasina Se Mulaqat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایک دیسی حسینہ سے ملاقات

خالد عرفان

سب وے میں نظر آئی مجھے ایک حسینہ

روسی نظر آتی تھی حقیقت میں تھی چینا

اندر کی فضا اور تھی باہر کی فضا اور

مادہ تھی مگر چال سے لگتی تھی نرینہ

بولی کہ مجھے لوگ پکارا کئے میری

ڈیڈی نے مرا نام تو رکھا تھا مرینہ

شلوار کو نیکر کیا بنیان کو رومال

میں راہ ترقی پہ چڑھی زینہ بہ زینہ

اب مجھ کو دوپٹے کی ضرورت ہی نہیں ہے

مغرب نے سکھایا مجھے جینے کا قرینہ

میں ایک ہی انداز کے کپڑوں میں ملوں گی

ہو جون کا سیزن کہ دسمبر کا مہینہ

دیسی تھی مگر روپ میں کالی کی طرح تھی

وہ گرم بہت چائے کی پیالی کی طرح تھی

پسٹل کی طرح آنکھ تو گولی کی طرح ہونٹ

اور ناک تو بندوق کی نالی کی طرح تھی

آئی تھی یہاں زلف گرہ گیر کٹا کر

مشرق کی ہوا باد شمالی کی طرح تھی

اس کا بھی نہ تھا میری طرح کوئی بھروسہ

بینگن کی طرح میں ہوں وہ تھالی کی طرح تھی

ہر عضو بدن مصرعۂ غالب کی طرح تھا

چہرے کی چمک مطلع حالی کی طرح تھی

خالد عرفان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Desi Hasina Se Mulaqat

Khalid Irfan

sub-way mein nazar aai mujhe ek hasina
rusi nazar aati thi haqiqat mein thi china

andar ki faza aur thi bahar ki faza aur
mada thi magar chaal se lagti thi narina

boli ki mujhe log pukara kiye mary
daddy ne mera nam to rakha tha marina

shalwar ko nekar kiya banyan ko rumal
main rah-e-taraqqi pe chaDhi zina-ba-zina

ab mujh ko dupaTTe ki zarurat hi nahin hai
maghrib ne sikhaya mujhe jine ka qarina

main ek hi andaz ke kapDon mein milungi
ho june ka session ki december ka mahina

desi thi magar rup mein kali ki tarah thi
wo garm bahut chae ki pyali ki tarah thi

pistol ki tarah aankh to goli ki tarah honT
aur nak to banduq ki nali ki tarah thi

aai thi yahan zulf-e-girah-gir kaTa kar
mashriq ki hawa baad-e-shumali ki tarah thi

us ka bhi na tha meri tarah koi bharosa
bengan ki tarah main hun wo thaali ki tarah thi

har uzw-e-badan misra-e-ghaalib ki tarah tha
chehre ki chamak matla-e-haali ki tarah thi

(1262) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Desi Hasina Se Mulaqat written by Khalid Irfan at UrduPoint. Ek Desi Hasina Se Mulaqat is one of the masterpieces written by Khalid Irfan. You can also find the complete poetry collection of Khalid Irfan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalid Irfan' above.

Ek Desi Hasina Se Mulaqat is a widely read Urdu Nazam. If you like Ek Desi Hasina Se Mulaqat, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Funny Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.