Maine Bhi Aam Rakh Diya, Urdu Nazam By Khalid Irfan

Maine Bhi Aam Rakh Diya is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Khalid Irfan. Maine Bhi Aam Rakh Diya comes under the Funny category of Urdu Nazam. You can read Maine Bhi Aam Rakh Diya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں نے بھی آم رکھ دیا

خالد عرفان

گوروں نے میرے دیس پر اپنا نظام رکھ دیا

ایک غلام اٹھا لیا ایک غلام رکھ دیا

تم نے خدا کے گھر میں بھی فتنۂ عام رکھ دیا

میرے امام کی جگہ اپنا امام رکھ دیا

اس نے تو میری یاد کو دل میں چھپایا اس طرح

جیسے سوئیس بینک میں مال حرام رکھ دیا

شیریں لبوں کو دیکھ کے میں کھا رہا تھا مینگو

اس نے جو ہونٹ سی لیے میں نے بھی آم رکھ دیا

گھر میں لغت نہ تھی کوئی جلدی میں اس کے باپ نے

بنت سیاہ فام کا چاندنی نام رکھ دیا

بیٹھی ہوئی ہے آج وہ بالوں کی وگ اتار کر

گویا شراب پھینک کر میز پہ جام رکھ دیا

مجھ کو بلا کے گھر میں ایک شاعر با کمال نے

تازہ طعام کی جگہ تازہ کلام رکھ دیا

خالد عرفان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Maine Bhi Aam Rakh Diya

Khalid Irfan

goron ne mere des par apna nizam rakh diya
ek ghulam uTha liya ek ghulam rakh diya

tum ne KHuda ke ghar mein bhi fitna-e-am rakh diya
mere imam ki jagah apna imam rakh diya

us ne to meri yaad ko dil mein chhupaya is tarah
jaise swiss-bank mein mal-e-haram rakh diya

shirin-labon ko dekh ke main kha raha tha mango
us ne jo honT si liye main ne bhi aam rakh diya

ghar mein lughat na thi koi jaldi mein us ke bap ne
binat-e-siyah-fam ka chandni nam rakh diya

baiThi hui hai aaj wo baalon ki wig utar kar
goya sharab phenk kar mez pe jam rakh diya

mujh ko bula ke ghar mein ek shaer-e-ba-kamal ne
taza taam ki jagah taza kalam rakh diya

(1301) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Maine Bhi Aam Rakh Diya written by Khalid Irfan at UrduPoint. Maine Bhi Aam Rakh Diya is one of the masterpieces written by Khalid Irfan. You can also find the complete poetry collection of Khalid Irfan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalid Irfan' above.

Maine Bhi Aam Rakh Diya is a widely read Urdu Nazam. If you like Maine Bhi Aam Rakh Diya, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Funny Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.