Use Kaamyabi Ki Hajat Nahin, Urdu Ghazal By Khalil Ur Rahman Raz

Use Kaamyabi Ki Hajat Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khalil Ur Rahman Raz. Use Kaamyabi Ki Hajat Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Use Kaamyabi Ki Hajat Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اسے کامیابی کی حاجت نہیں

خلیل الرحمٰن راز

اسے کامیابی کی حاجت نہیں

محبت ہے کوئی تجارت نہیں

خطا‌ وار شکر و شکایت نہیں

اسے بات کرنے کی عادت نہیں

میں رہتا ہوں اس کے خیالوں میں گم

مجھے سانس لینے کی فرصت نہیں

وہ ہے رنگ خوشبو دھنک چاندنی

اسے زیب و زینت کی حاجت نہیں

ستم گر وہ مجھ پر ہو جب مہرباں

مبارک کوئی ایسی ساعت نہیں

اٹھاؤں میں ناز اس گل اندام کے

مرے واسطے یہ سعادت نہیں

خوشی کے تعاقب میں ہے غم یہاں

یہ دنیا جہنم ہے جنت نہیں

قرین حقیقت ہے یہ قول بھی

زمانے میں اب کچھ شرافت نہیں

میں اس کو محبت کا تحفہ کہوں

اگر تم کو مجھ سے شکایت نہیں

میں کرتا ہوں جن ساتھیوں سے گریز

مجھے ان سے کوئی شکایت نہیں

مجھے حاسدوں سے ہے شکوہ مگر

خدا واسطے کی عداوت نہیں

تری بات سچی ہے واعظ مگر

بیاں میں ترے کچھ لطافت نہیں

جماعت ہے حسن عبادت مگر

جو دل سے نہ ہو وہ عبادت نہیں

حکیمانہ الفت سے آراستہ

شریعت سے ہٹ کر طریقت نہیں

جہاں میں وہی اب ہے بے اختیار

جسے جھوٹ بکنے کی عادت نہیں

محبت میں ہے راز راز حیات

محبت سے بڑھ کر عبادت نہیں

خلیل الرحمٰن راز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Use Kaamyabi Ki Hajat Nahin

Khalil Ur Rahman Raz

use kaamyabi ki hajat nahin
mohabbat hai koi tijarat nahin

KHatawar shukr-o-shikayat nahin
use baat karne ki aadat nahin

main rahta hun us ke KHayalon mein gum
mujhe sans lene ki fursat nahin

wo hai rang KHushbu dhanak chandni
use zeb-o-zinat ki hajat nahin

sitamgar wo mujh par ho jab mehrban
mubarak koi aisi saat nahin

uThaun main naz us gul-andam ke
mere waste ye saadat nahin

KHushi ke taaqub mein hai gham yahan
ye duniya jahannum hai jannat nahin

qarin-e-haqiqat hai ye qaul bhi
zamane mein ab kuchh sharafat nahin

main is ko mohabbat ka tohfa kahun
agar tum ko mujh se shikayat nahin

main karta hun jin sathiyon se gurez
mujhe un se koi shikayat nahin

mujhe hasidon se hai shikwa magar
KHuda waste ki adawat nahin

teri baat sachchi hai waiz magar
bayan mein tere kuchh latafat nahin

jamaat hai husn-e-ibaadat magar
jo dil se na ho wo ibaadat nahin

hakimana ulfat se aarasta
shariat se haT kar tariqat nahin

jahan mein wahi ab hai be-iKHtiyar
jise jhuT bakne ki aadat nahin

mohabbat mein hai raaz raaz-e-hayat
mohabbat se baDh kar ibaadat nahin

(373) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Use Kaamyabi Ki Hajat Nahin written by Khalil Ur Rahman Raz at UrduPoint. Use Kaamyabi Ki Hajat Nahin is one of the masterpieces written by Khalil Ur Rahman Raz. You can also find the complete poetry collection of Khalil Ur Rahman Raz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalil Ur Rahman Raz' above.

Use Kaamyabi Ki Hajat Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Use Kaamyabi Ki Hajat Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.