Waqt Ne Dil Ki Tabiat Mein Wafa Rakkhi Hai, Urdu Ghazal By Khalil Ur Rahman Raz

Waqt Ne Dil Ki Tabiat Mein Wafa Rakkhi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khalil Ur Rahman Raz. Waqt Ne Dil Ki Tabiat Mein Wafa Rakkhi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Waqt Ne Dil Ki Tabiat Mein Wafa Rakkhi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وقت نے دل کی طبیعت میں وفا رکھی ہے

خلیل الرحمٰن راز

وقت نے دل کی طبیعت میں وفا رکھی ہے

کلفت آگہی پھر اس کی سزا رکھی ہے

دل ہو پژمردہ تو ہے خندۂ گل بے معنی

ہر خوشی اور غمی دل نے چھپا رکھی ہے

چاک کرتی ہے صبا صبح کو غنچوں کے جگر

یہ کہانی مجھے شبنم نے سنا رکھی ہے

غنچہ غنچہ میں ہے پوشیدہ صلیب غم دوست

کس نے پھولوں میں یہ قاتل کی ادا رکھی ہے

کس کے چھپ جانے سے حیران ہوئی ہے دنیا

کس کے جلووں نے یہ دیوانی بنا رکھی ہے

زندگی ہو گئی کس طرح تو اتنی سستی

کس لئے تو نے بھری دنیا ستا رکھی ہے

علم سے جس کے مجھے مل سکے منزل کا نشاں

وقت نے مجھ سے وہی بات چھپا رکھی ہے

ہم نے ہر موڑ پہ چاہت کے جلائے ہیں چراغ

ہم نے ہر گام پہ الفت کی بنا رکھی ہے

تفرقوں کا نہیں آپس میں کہیں کوئی جواز

سب نے اوہام کی دیوار اٹھا رکھی ہے

درد ہجراں کے تسلسل سے نہ گھبرا دل زار

عشق نے درد کے اندر ہی دوا رکھی ہے

وقت لے آیا ہے خود حد میں اسے دیر سویر

جس نے بھی قد سے سوا اپنی انا رکھی ہے

اس ستم گر کا میں اے رازؔ کروں کیا شکوہ

ہر بلا میرے لئے جس نے روا رکھی ہے

خلیل الرحمٰن راز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Waqt Ne Dil Ki Tabiat Mein Wafa Rakkhi Hai

Khalil Ur Rahman Raz

waqt ne dil ki tabiat mein wafa rakkhi hai
kulfat-e-agahi phir us ki saza rakhi hai

dil ho pazhmurda to hai KHanda-e-gul be-mani
har KHushi aur ghami dil ne chhupa rakkhi hai

chaak karti hai saba subh ko ghunchon ke jigar
ye kahani mujhe shabnam ne suna rakkhi hai

ghunche ghunche mein hai poshida salib-e-gham-e-dost
kis ne phulon mein ye qatil ki ada rakkhi hai

kis ke chhup jaane se hairan hui hai duniya
kis ke jalwon ne ye diwani bana rakkhi hai

zindagi ho gai kis tarah tu itni sasti
kis liye tu ne bhari duniya sata rakkhi hai

ilm se jis ke mujhe mil sake manzil ka nishan
waqt ne mujh se wahi baat chhupa rakkhi hai

hum ne har moD pe chahat ke jalae hain charagh
hum ne har gam pe ulfat ki bina rakkhi hai

tafraqon ka nahin aapas mein kahin koi jawaz
sab ne auham ki diwar uTha rakkhi hai

dard-e-hijran ke tasalsul se na ghabra dil-e-zar
ishq ne dard ke andar hi dawa rakkhi hai

waqt le aaya hai KHud had mein use der sawer
jis ne bhi qad se siwa apni ana rakkhi hai

us sitamgar ka mein ai 'raaz' karun kya shikwa
har bala mere liye jis ne rawa rakkhi hai

(436) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Waqt Ne Dil Ki Tabiat Mein Wafa Rakkhi Hai written by Khalil Ur Rahman Raz at UrduPoint. Waqt Ne Dil Ki Tabiat Mein Wafa Rakkhi Hai is one of the masterpieces written by Khalil Ur Rahman Raz. You can also find the complete poetry collection of Khalil Ur Rahman Raz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khalil Ur Rahman Raz' above.

Waqt Ne Dil Ki Tabiat Mein Wafa Rakkhi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Waqt Ne Dil Ki Tabiat Mein Wafa Rakkhi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.