Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai, Urdu Ghazal By Khurram Khaleeq

Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khurram Khaleeq. Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کیا لطف مسافت میں کہ ڈر کوئی نہیں ہے

خرم خلیق

کیا لطف مسافت میں کہ ڈر کوئی نہیں ہے

پانی کا سفر اور بھنور کوئی نہیں ہے

پھر کون ہے ساحل پہ جو رکنے نہیں دیتا

ویران جزیروں میں اگر کوئی نہیں ہے

اک چاپ اترتی ہے در دل پہ ہر اک شب

دیکھا ہے کئی بار مگر کوئی نہیں ہے

تم میری مسافت کے لیے آخری حد ہو

اب تم سے پرے راہ گزر کوئی نہیں ہے

ہر شخص ہے جیسے کوئی ویران حویلی

لکھا ہے یہ ماتھوں پہ کہ گھر کوئی نہیں ہے

ہے اپنے مقدر میں یہی تیرگی خرمؔ

اب رات کے دامن میں سحر کوئی نہیں ہے

خرم خلیق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai

Khurram Khaleeq

kya lutf masafat mein ki Dar koi nahin hai
pani ka safar aur bhanwar koi nahin hai

phir kaun hai sahil pe jo rukne nahin deta
viran jaziron mein agar koi nahin hai

ek chap utarti hai dar-e-dil pe har ek shab
dekha hai kai bar magar koi nahin hai

tum meri masafat ke liye aaKHiri had ho
ab tum se pare rahguzar koi nahin hai

har shaKHs hai jaise koi viran haweli
likkha hai ye mathon pe ki ghar koi nahin hai

hai apne muqaddar mein yahi tirgi 'KHurram'
ab raat ke daman mein sahar koi nahin hai

(721) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai written by Khurram Khaleeq at UrduPoint. Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai is one of the masterpieces written by Khurram Khaleeq. You can also find the complete poetry collection of Khurram Khaleeq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khurram Khaleeq' above.

Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.