Tu Hi Nahin Gardish Mein Murakh Gardish Mein Sansar Bhi Hai, Urdu Ghazal By Khurshid Khawar Amrohvi

Tu Hi Nahin Gardish Mein Murakh Gardish Mein Sansar Bhi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khurshid Khawar Amrohvi. Tu Hi Nahin Gardish Mein Murakh Gardish Mein Sansar Bhi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tu Hi Nahin Gardish Mein Murakh Gardish Mein Sansar Bhi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تو ہی نہیں گردش میں مورکھ گردش میں سنسار بھی ہے

خورشید خاور امروہوی

تو ہی نہیں گردش میں مورکھ گردش میں سنسار بھی ہے

روگوں سے بھرپور ہے دنیا روگوں کی بھر مار بھی ہے

ماہ وشوں کی الفت میں کچھ جیت بھی ہے کچھ ہار بھی ہے

دل کی باتیں دل ہی جانے دل کو ہی آزار بھی ہے

مشق ستم کیجے دل بھر کر حاضر ہوں ہر طرح سے میں

چاہے جس سے گھائل کیجے ابرو بھی تلوار بھی ہے

عشق حقیقی میں مرنا تو عین سعادت ہے بے شک

کشتئ دل ڈوبے یا ابھرے ساحل بھی منجدھار بھی ہے

حسن طلب ہے اپنا اپنا چاہے جسے اپنا لیجے

گلشن ہستی میں سب کچھ ہے پھول بھی ہے اور خار بھی ہے

یہ دنیا آنی جانی ہے پیارے کون ہے کس کا میت

سب کو تو اپنا سمجھا ہے کوئی ترا غم خوار بھی ہے

جائز ہے مذہب میں اس کے فکر سخن کے ساتھ میں وعظ

خاورؔ کی بابت مت پوچھو زاہد بھی فنکار بھی ہے

خورشید خاور امروہوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tu Hi Nahin Gardish Mein Murakh Gardish Mein Sansar Bhi Hai

Khurshid Khawar Amrohvi

tu hi nahin gardish mein murakh gardish mein sansar bhi hai
rogon se bharpur hai duniya rogon ki bhar-mar bhi hai

mah-washon ki ulfat mein kuchh jit bhi hai kuchh haar bhi hai
dil ki baaten dil hi jaane dil ko hi aazar bhi hai

mashq-e-sitam kije dil bhar kar hazir hun har tarah se main
chahe jis se ghayal kije abru bhi talwar bhi hai

ishq-e-haqiqi mein marna to ain-saadat hai be-shak
kashti-e-dil Dube ya ubhre sahil bhi manjdhaar bhi hai

husn-e-talab hai apna apna chahe jise apna lije
gulshan-e-hasti mein sab kuchh hai phul bhi hai aur KHar bhi hai

ye duniya aani-jaani hai pyare kaun hai kis ka mit
sab ko tu apna samjha hai koi tera gham-KHwar bhi hai

jaez hai mazhab mein us ke fikr-e-suKHan ke sath mein waz
'KHawar' ki babat mat puchho zahid bhi fan-kar bhi hai

(401) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tu Hi Nahin Gardish Mein Murakh Gardish Mein Sansar Bhi Hai written by Khurshid Khawar Amrohvi at UrduPoint. Tu Hi Nahin Gardish Mein Murakh Gardish Mein Sansar Bhi Hai is one of the masterpieces written by Khurshid Khawar Amrohvi. You can also find the complete poetry collection of Khurshid Khawar Amrohvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khurshid Khawar Amrohvi' above.

Tu Hi Nahin Gardish Mein Murakh Gardish Mein Sansar Bhi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tu Hi Nahin Gardish Mein Murakh Gardish Mein Sansar Bhi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.