Na Main Dariya Na Mujh Mein Zoam Koi Be-karani Ka, Urdu Ghazal By Khurshid Talab

Na Main Dariya Na Mujh Mein Zoam Koi Be-karani Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khurshid Talab. Na Main Dariya Na Mujh Mein Zoam Koi Be-karani Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Main Dariya Na Mujh Mein Zoam Koi Be-karani Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ میں دریا نہ مجھ میں زعم کوئی بیکرانی کا

خورشید طلب

نہ میں دریا نہ مجھ میں زعم کوئی بیکرانی کا

کہ میں ہوں بلبلے کی شکل میں احساس پانی کا

محبت میں تری اپنی زباں کو سی لیا میں نے

اثر زائل نہ ہو جائے تری جادو بیانی کا

عجب کیا ہے جو میری داستان خونچکاں سے بھی

کوئی پہلو نکل آئے کسی کی شادمانی کا

میں اپنے پاؤں کی زنجیر اک دن خود ہی کاٹوں گا

ہدف بننا نہیں مجھ کو کسی کی مہربانی کا

تمہارے سامنے آؤں تمہیں اپنی صفائی دوں

سبب معلوم ہو تب نا تمہاری بد گمانی کا

مرا سینہ ہزاروں چیختی روحوں کا مسکن ہے

وسیلہ ہوں میں گونگی حسرتوں کی ترجمانی کا

ہمارا عہد بھی لکھے الف لیلیٰ کے جیسا کچھ

بدلنا چاہیئے اب رنگ کچھ قصہ کہانی کا

نہیں تیرے لیے یہ دو منٹ کی چپ نہیں کافی

ترا غم مستحق ہے عمر بھی کی نوحہ خوانی کا

مری تائید میں بھی اب کسی کا ہونٹ تو کانپے

کوئی تو درد بانٹے آئے میری بے زبانی کا

خورشید طلب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Main Dariya Na Mujh Mein Zoam Koi Be-karani Ka

Khurshid Talab

na main dariya na mujh mein zoam koi be-karani ka
ki main hun bulbule ki shakl mein ehsas pani ka

mohabbat mein teri apni zaban ko si liya main ne
asar zail na ho jae teri jadu-bayani ka

ajab kya hai jo meri dastan-e-KHun-chakan se bhi
koi pahlu nikal aae kisi ki shadmani ka

main apne panw ki zanjir ek din KHud hi kaTunga
hadaf banna nahin mujh ko kisi ki mehrbani ka

tumhaare samne aaun tumhein apni safai dun
sabab malum ho tab na tumhaari bad-gumani ka

mera sina hazaron chiKHti ruhon ka maskan hai
wasila hun main gungi hasraton ki tarjumani ka

hamara ahd bhi likkhe alif-laila ke jaisa kuchh
badalna chahiye ab rang kuchh qissa-kahani ka

nahin tere liye ye do minute ki chup nahin kafi
tera gham mustahiq hai umr bhi ki nauha-KHwani ka

meri taid mein bhi ab kisi ka honT to kanpe
koi to dard banTe aae meri be-zabani ka

(632) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Main Dariya Na Mujh Mein Zoam Koi Be-karani Ka written by Khurshid Talab at UrduPoint. Na Main Dariya Na Mujh Mein Zoam Koi Be-karani Ka is one of the masterpieces written by Khurshid Talab. You can also find the complete poetry collection of Khurshid Talab by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khurshid Talab' above.

Na Main Dariya Na Mujh Mein Zoam Koi Be-karani Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Main Dariya Na Mujh Mein Zoam Koi Be-karani Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.