Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain, Urdu Ghazal By Khushbir Singh Shaad

Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khushbir Singh Shaad. Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ چشم تر بتاتی ہے نہ زخم سر بتاتے ہیں

خوشبیر سنگھ شادؔ

نہ چشم تر بتاتی ہے نہ زخم سر بتاتے ہیں

وہ اک روداد جو سہمے ہوئے یہ گھر بتاتے ہیں

میں اپنے آنسوؤں پر اس لئے قابو نہیں رکھتا

کہ میرے دل کی حالت مجھ سے یہ بہتر بتاتے ہیں

انہیں دل کی صداؤں پر بھلا کیسے یقیں ہوگا

یہ آنکھیں تو وہی سنتی ہیں جو منظر بتاتے ہیں

یقیناً پھر کسی نے جرأت پرواز کی ہوگی

یہاں چاروں طرف بکھرے ہوئے یہ پر بتاتے ہیں

کہاں گم ہو گیا ہے راستے میں وہ مسافر بھی

نہ کچھ رہزن بتاتے ہیں نہ کچھ رہبر بتاتے ہیں

ذرا یہ دھوپ ڈھل جائے تو ان کا حال پوچھیں گے

یہاں کچھ سائے اپنے آپ کو پیکر بتاتے ہیں

تجھے بھی شادؔ اپنی ذات سے باہر نکلنا ہے

صدف کی قید سے نکلے ہوئے گوہر بتاتے ہیں

خوشبیر سنگھ شادؔ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain

Khushbir Singh Shaad

na chashm-e-tar batati hai na zaKHm-e-sar batate hain
wo ek rudad jo sahme hue ye ghar batate hain

main apne aansuon par is liye qabu nahin rakhta
ki mere dil ki haalat mujh se ye behtar batate hain

unhen dil ki sadaon par bhala kaise yaqin hoga
ye aankhen to wahi sunti hain jo manzar batate hain

yaqinan phir kisi ne jurat-e-parwaz ki hogi
yahan chaaron taraf bikhre hue ye par batate hain

kahan gum ho gaya hai raste mein wo musafir bhi
na kuchh rahzan batate hain na kuchh rahbar batate hain

zara ye dhup Dhal jae to un ka haal puchhenge
yahan kuchh sae apne aap ko paikar batate hain

tujhe bhi 'shad' apni zat se bahar nikalna hai
sadaf ki qaid se nikle hue gauhar batate hain

(556) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain written by Khushbir Singh Shaad at UrduPoint. Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain is one of the masterpieces written by Khushbir Singh Shaad. You can also find the complete poetry collection of Khushbir Singh Shaad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khushbir Singh Shaad' above.

Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Chashm-e-tar Batati Hai Na ZaKHm-e-sar Batate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.