Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki, Urdu Ghazal By Khwaja Mohammad Wazir

Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khwaja Mohammad Wazir. Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایک عالم نے جبہ سائی کی

خواجہ محمد وزیر

ایک عالم نے جبہ سائی کی

اے بتو تم نے بھی خدائی کی

عاشقوں کے لہو کی پیاسی ہیں

مچھلیاں اس کف حنائی کی

زلف پر پیچ سے جو دل الجھا

بیچ میں رخ پڑا صفائی کی

مرغ بے بال و پر ہوں اے صیاد

آرزو ہے کسی رہائی کی

اے جنوں دشت کو چلیں گے ہم

ہے قسم اس برہنہ پائی کی

سر جدا ہم نے اپنا کر ڈالا

آئی جب گفتگو جدائی کی

پھر گیا یار گھر کے پاس آ کر

بخت برگشتہ نے برائی کی

سیکڑوں جامے تجھ پہ پھٹتے ہیں

دھوم ہے تیری میرزائی کی

تجھ سے تو ہم کو اے خم ابرو

تھی نہ امید کج ادائی کی

کوئی قاتل کی راہ بھولا تھا

اے اجل تو نے رہنمائی کی

دل کہیں اور ہم نے اٹکایا

بے وفاؤں سے بے وفائی کی

نہ گئی زاہدوں کے پاس کبھی

دختر رز نے پارسائی کی

شہر میں جائے گی مری پاپوش

قدر واں کیا برہنہ پائی کی

صاف ہے آئنہ تن پر نور

ہے دلیل اس پہ خود نمائی کی

کاسۂ ماہ کیوں نہ ہو پر نور

برسوں اس کوچے کی گدائی کی

کعبۂ دل میں بھی مقام کیا

اے بتو تم نے کیا رسائی کی

خط کے آنے پہ بھی مکدر ہے

صورت اب کون سی صفائی کی

بال و پر بھی گئے بہار کے ساتھ

اب تو صورت نہیں رہائی کی

کس کے کوچے کی راہ بھولا ہوں

خضر نے بھی نہ رہنمائی کی

شاہ کہلائے ہر طرح سے وزیرؔ

بادشاہی نہ کی گدائی کی

خواجہ محمد وزیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki

Khwaja Mohammad Wazir

ek aalam ne jubba-sai ki
ai buto tum ne bhi KHudai ki

aashiqon ke lahu ki pyasi hain
machhliyan us kaf-e-hinai ki

zulf-e-pur-pech se jo dil uljha
bich mein raKH paDa safai ki

murgh-e-be-baal-o-par hun ai sayyaad
aarzu hai kisi rihai ki

ai junun dasht ko chalenge hum
hai qasam is barahna-pai ki

sar juda hum ne apna kar Dala
aai jab guftugu judai ki

phir gaya yar ghar ke pas aa kar
baKHt-e-bargashta ne burai ki

saikDon jame tujh pe phaTte hain
dhum hai teri mirzai ki

tujh se to hum ko ai KHam-e-abru
thi na ummid kaj-adai ki

koi qatil ki rah bhula tha
ai ajal tu ne rahnumai ki

dil kahin aur hum ne aTkaya
be-wafaon se bewafai ki

na gai zahidon ke pas kabhi
duKHtar-e-raz ne parsai ki

shahr mein jaegi meri pa-posh
qadr wan kya barahna-pai ki

saf hai aaina tan-e-pur-nur
hai dalil us pe KHud-numai ki

kasa-e-mah kyun na ho pur-nur
barson us kuche ki gadai ki

kaba-e-dil mein bhi maqam kiya
ai buto tum ne kya rasai ki

KHat ke aane pe bhi mukaddar hai
surat ab kaun si safai ki

baal-o-par bhi gae bahaar ke sath
ab to surat nahin rihai ki

kis ke kuche ki rah bhula hun
KHizr ne bhi na rahnumai ki

shah kahlae har tarah se 'wazir'
baadshahi na ki gadai ki

(411) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki written by Khwaja Mohammad Wazir at UrduPoint. Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki is one of the masterpieces written by Khwaja Mohammad Wazir. You can also find the complete poetry collection of Khwaja Mohammad Wazir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khwaja Mohammad Wazir' above.

Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ek Aalam Ne Jubba-sai Ki, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.