Aagahi Maut Se Kam Bhi Nahin Ruswa Bhi Nahin, Urdu Ghazal By Khwaja Shauq

Aagahi Maut Se Kam Bhi Nahin Ruswa Bhi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khwaja Shauq. Aagahi Maut Se Kam Bhi Nahin Ruswa Bhi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aagahi Maut Se Kam Bhi Nahin Ruswa Bhi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آگہی موت سے کم بھی نہیں رسوا بھی نہیں

خواجہ شوق

آگہی موت سے کم بھی نہیں رسوا بھی نہیں

دیکھتا ہوں وہ تماشا جو تماشا بھی نہیں

جلوہ مشتاق بھی ہوں جلوہ تقاضا بھی نہیں

حسن مجروح نظر ہو یہ گوارا بھی نہیں

زندگی ہم کو بہت دیر میں راس آئی ہے

درد کم بھی نہیں امکان مداوا بھی نہیں

راہ پاتا ہے زمانہ مری گمراہی سے

منزلیں کیا مرے آگے کوئی رستہ بھی نہیں

بعض وقتوں کے خیالات بھی کیا ہوتے ہیں

دور تک جیسے میں تنہا بھی ہوں تنہا بھی نہیں

سابقہ ایسے ستم گر سے ہے دن رات اپنا

یعنی قاتل بھی نہیں وہ تو مسیحا بھی نہیں

روشنی ملتی ہے دنیا کو انہی لوگوں سے

جن کے حصے میں چراغوں کا اجالا بھی نہیں

اپنے ہی شہر میں اب اپنے شناسا کم ہیں

دشت غربت میں عجب کیا جو شناسا بھی نہیں

ہر تباہی کا سبب ہے دل مضطر تنہا

غم ہزار آفت جاں ہے مگر اتنا بھی نہیں

حق رفاقت کا ادا کر دیا شاید اس نے

دل گلستاں بھی نہیں درد کا صحرا بھی نہیں

مشورے دیتے ہیں احباب مجھے شوقؔ ایسے

جیسے اب تک مجھے اندازہ خود اپنا بھی نہیں

خواجہ شوق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aagahi Maut Se Kam Bhi Nahin Ruswa Bhi Nahin

Khwaja Shauq

aagahi maut se kam bhi nahin ruswa bhi nahin
dekhta hun wo tamasha jo tamasha bhi nahin

jalwa mushtaq bhi hun jalwa taqaza bhi nahin
husn majruh-e-nazar ho ye gawara bhi nahin

zindagi hum ko bahut der mein ras aai hai
dard kam bhi nahin imkan-e-mudawa bhi nahin

rah pata hai zamana meri gumrahi se
manzilen kya mere aage koi rasta bhi nahin

baz waqton ke KHayalat bhi kya hote hain
dur tak jaise main tanha bhi hun tanha bhi nahin

sabiqa aise sitamgar se hai din raat apna
yani qatil bhi nahin wo to masiha bhi nahin

raushni milti hai duniya ko unhi logon se
jin ke hisse mein charaghon ka ujala bhi nahin

apne hi shahr mein ab apne shanasa kam hain
dasht-e-ghurbat mein ajab kya jo shanasa bhi nahin

har tabahi ka sabab hai dil-e-muztar tanha
gham hazar aafat-e-jaan hai magar itna bhi nahin

haq rifaqat ka ada kar diya shayad us ne
dil gulistan bhi nahin dard ka sahra bhi nahin

mashware dete hain ahbab mujhe 'shauq' aise
jaise ab tak mujhe andaza KHud apna bhi nahin

(870) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aagahi Maut Se Kam Bhi Nahin Ruswa Bhi Nahin written by Khwaja Shauq at UrduPoint. Aagahi Maut Se Kam Bhi Nahin Ruswa Bhi Nahin is one of the masterpieces written by Khwaja Shauq. You can also find the complete poetry collection of Khwaja Shauq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khwaja Shauq' above.

Aagahi Maut Se Kam Bhi Nahin Ruswa Bhi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aagahi Maut Se Kam Bhi Nahin Ruswa Bhi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.