Masafat Zindagi Aur Hadson Mein Itni Mubham Hai, Urdu Ghazal By Khwaja Shauq

Masafat Zindagi Aur Hadson Mein Itni Mubham Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khwaja Shauq. Masafat Zindagi Aur Hadson Mein Itni Mubham Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Masafat Zindagi Aur Hadson Mein Itni Mubham Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مسافت زندگی اور حادثوں میں اتنی مبہم ہے

خواجہ شوق

مسافت زندگی اور حادثوں میں اتنی مبہم ہے

خوشی کہتے ہیں جس کو اک ذرا سا وقفۂ غم ہے

بہار حسن پنہاں ہے جنوں تحریک عالم ہے

جہاں ہم ہیں وہاں گنجائش فکر و نظر کم ہے

نگاہ وقت میں دونوں بھی شانیں پائی جاتی ہیں

کہیں زخم جگر ہے اور کہیں زخموں کا مرہم ہے

مذاق عام سے کیا مطمئن ہوں گے نظر والے

شعور شادمانی تک نہیں ہے غم تو پھر غم ہے

مچاتے ہیں تباہی پہلے پھر تسکین دیتے ہیں

مسلسل ہم پہ احساں گلستاں والوں کا کیا کم ہے

وہی دل کا لہو ہے اشک کہیے یا ہنسی کہیے

بھڑک اٹھے تو شعلہ نرم پڑ جائے تو شبنم ہے

بہ قید ہوش تو وہ ہیں رگ جاں کے قریں لیکن

طلب حد جنوں میں ہو تو یہ بھی فاصلہ کم ہے

چھپا لیتی ہے خوش پوشی بھی کیا کیا زخم دامن میں

صدائے خندۂ گل ایک فریاد منظم ہے

مزاج دہر کیا ان کی نظر کو دیکھ کر چپ ہوں

مجھے معلوم ہے حالات میں جتنا بھی دم خم ہے

پیام دوست سننے گوش بر آواز رہتا ہوں

دھڑکتا دل نہیں پہلو میں جیتا جاگتا غم ہے

وہ کیسے لوگ ہیں یا رب جو مر کر بھی نہیں مرتے

یہاں تو زندگی میں زندگی کا شائبہ کم ہے

عجب عالم ہے شوقؔ احساس غم کی پاسداری کا

بظاہر خشک ہیں آنکھیں مگر دامان دل نم ہے

خواجہ شوق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Masafat Zindagi Aur Hadson Mein Itni Mubham Hai

Khwaja Shauq

masafat zindagi aur hadson mein itni mubham hai
KHushi kahte hain jis ko ek zara sa waqfa-e-gham hai

bahaar-e-husn pinhan hai junun tahrik-e-alam hai
jahan hum hain wahan gunjaish-e-fikr-o-nazar kam hai

nigah-e-waqt mein donon bhi shanen pai jati hain
kahin zaKHm-e-jigar hai aur kahin zaKHmon ka marham hai

mazaq-e-am se kya mutmain honge nazar wale
shuur-e-shadmani tak nahin hai gham to phir gham hai

machate hain tabahi pahle phir taskin dete hain
musalsal hum pe ehsan gulsitan walon ka kya kam hai

wahi dil ka lahu hai ashk kahiye ya hansi kahiye
bhaDak uTThe to shoala narm paD jae to shabnam hai

ba-qaid-e-hosh to wo hain rag-e-jaan ke qarin lekin
talab hadd-e-junun mein ho to ye bhi fasla kam hai

chhupa leti hai KHush-poshi bhi kya kya zaKHm daman mein
sada-e-KHanda-e-gul ek fariyaad-e-munazzam hai

mizaj-e-dahr kya un ki nazar ko dekh kar chup hun
mujhe malum hai haalat mein jitna bhi dam-KHam hai

payam-e-dost sunne gosh-bar-awaz rahta hun
dhaDakta dil nahin pahlu mein jita jagta gham hai

wo kaise log hain yarab jo mar kar bhi nahin marte
yahan to zindagi mein zindagi ka shaiba kam hai

ajab aalam hai 'shauq' ehsas-e-gham ki pasdari ka
ba-zahir KHushk hain aankhen magar daman-e-dil nam hai

(635) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Masafat Zindagi Aur Hadson Mein Itni Mubham Hai written by Khwaja Shauq at UrduPoint. Masafat Zindagi Aur Hadson Mein Itni Mubham Hai is one of the masterpieces written by Khwaja Shauq. You can also find the complete poetry collection of Khwaja Shauq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khwaja Shauq' above.

Masafat Zindagi Aur Hadson Mein Itni Mubham Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Masafat Zindagi Aur Hadson Mein Itni Mubham Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.