Mohabbat Karne Walon Ko Mohabbat Aazmati Hai, Urdu Ghazal By Khwaja Zameer

Mohabbat Karne Walon Ko Mohabbat Aazmati Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khwaja Zameer. Mohabbat Karne Walon Ko Mohabbat Aazmati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mohabbat Karne Walon Ko Mohabbat Aazmati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبت کرنے والوں کو محبت آزماتی ہے

خواجہ ضمیر

محبت کرنے والوں کو محبت آزماتی ہے

کسی کی آن جاتی ہے کسی کی جان جاتی ہے

تخیل کی گل افشانی غزل کا نام پاتی ہے

کسی کی یاد سے زخموں کی دنیا مسکراتی ہے

وفور غم سے شمع زندگانی تھرتھراتی ہے

محبت کی ہر اک دھڑکن وفا کو آزماتی ہے

کسی کے عارض و لب کی ملی ہے روشنی جب سے

بہار زندگی رنگینیوں میں ڈوب جاتی ہے

مرے بازو پہ زلفوں کی بھری برسات ہوتی تھی

وہ ساعت یاد آتی ہے وہ ساعت یاد آتی ہے

وہ رنگ و نور کی محفل بہاروں کی وہ رعنائی

محبت کے وفا پرور فسانوں کو سناتی ہے

کسی کی یاد میں گم ہو گئی ہے روشنی دل کی

جو گاہے گاہے راہ اشک غم کو جگمگاتی ہے

تمہاری زلف کا سایہ جو مل جائے تو رک جاؤں

تھکا ماندہ ہوا ہوں دھوپ غم کی چلچلاتی ہے

ضمیرؔ انجام الفت پر لرز جاتا ہے دل اکثر

ہنسی آتی ہے جس دم آنکھ میری ڈبڈباتی ہے

خواجہ ضمیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohabbat Karne Walon Ko Mohabbat Aazmati Hai

Khwaja Zameer

mohabbat karne walon ko mohabbat aazmati hai
kisi ki aan jati hai kisi ki jaan jati hai

taKHayyul ki gul-afshani ghazal ka nam pati hai
kisi ki yaad se zaKHmon ki duniya muskuraati hai

wufur-e-gham se sham-e-zindagani thartharaati hai
mohabbat ki har ek dhaDkan wafa ko aazmati hai

kisi ke aariz-o-lab ki mili hai raushni jab se
bahaar-e-zindagi ranginiyon mein Dub jati hai

mere bazu pe zulfon ki bhari barsat hoti thi
wo saat yaad aati hai wo saat yaad aati hai

wo rang-o-nur ki mahfil bahaaron ki wo ranai
mohabbat ke wafa-parwar fasanon ko sunati hai

kisi ki yaad mein gum ho gai hai raushni dil ki
jo gahe-gahe rah-e-ashk-e-gham ko jagmagati hai

tumhaari zulf ka saya jo mil jae to ruk jaun
thaka-manda hua hun dhup gham ki chilchilati hai

'zamir' anjam-e-ulfat par laraz jata hai dil aksar
hansi aati hai jis dam aankh meri DabDabaati hai

(498) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohabbat Karne Walon Ko Mohabbat Aazmati Hai written by Khwaja Zameer at UrduPoint. Mohabbat Karne Walon Ko Mohabbat Aazmati Hai is one of the masterpieces written by Khwaja Zameer. You can also find the complete poetry collection of Khwaja Zameer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khwaja Zameer' above.

Mohabbat Karne Walon Ko Mohabbat Aazmati Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mohabbat Karne Walon Ko Mohabbat Aazmati Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.