Na-KHuda Ko Jab KHuda Ka Aasra Milta Nahin, Urdu Ghazal By Khwaja Zameer

Na-KHuda Ko Jab KHuda Ka Aasra Milta Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Khwaja Zameer. Na-KHuda Ko Jab KHuda Ka Aasra Milta Nahin comes under the Love, Sad, Social, Sufi category of Urdu Ghazal. You can read Na-KHuda Ko Jab KHuda Ka Aasra Milta Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نا خدا کو جب خدا کا آسرا ملتا نہیں

خواجہ ضمیر

نا خدا کو جب خدا کا آسرا ملتا نہیں

عمر بھر اس کو کناروں کا پتا ملتا نہیں

عزم و ہمت ہو تو ہر اک راستہ نظروں میں ہے

کون سی منزل ہے جس کا راستہ ملتا نہیں

حادثوں نے غم کے افسانے مرتب کر دئے

اب کتاب زندگی میں حادثہ ملتا نہیں

اہل باطن کی عنایت بھی ضروری ہے بہت

اہل ظاہر کے ملائے سے خدا ملتا نہیں

کچھ نہ کچھ اپنائیت نظروں میں ہونی چاہئے

اجنبی نظروں کو صورت آشنا ملتا نہیں

جذب سانسوں میں مری یہ کون آخر ہو گیا

اب مری پہچان اب میرا پتہ ملتا نہیں

حسن ہر تعمیر کا قائم ہے میری ذات میں

میں وہ مٹی ہوں مجھے چھانو تو کیا ملتا نہیں

زندگی وقف خیال دوست ہے اپنی ضمیرؔ

اب کسی گوشے میں احساس انا ملتا نہیں

خواجہ ضمیر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na-KHuda Ko Jab KHuda Ka Aasra Milta Nahin

Khwaja Zameer

na-KHuda ko jab KHuda ka aasra milta nahin
umr bhar us ko kinaron ka pata milta nahin

azm-o-himmat ho to har ek rasta nazron mein hai
kaun si manzil hai jis ka rasta milta nahin

hadson ne gham ke afsane murattab kar diye
ab kitab-e-zindagi mein hadisa milta nahin

ahl-e-baatin ki inayat bhi zaruri hai bahut
ahl-e-zahir ke milae se KHuda milta nahin

kuchh na kuchh apnaiyat nazron mein honi chahiye
ajnabi nazron ko surat-ashna milta nahin

jazb sanson mein meri ye kaun aaKHir ho gaya
ab meri pahchan ab mera pata milta nahin

husn har tamir ka qaem hai meri zat mein
main wo miTTi hun mujhe chhano to kya milta nahin

zindagi waqf-e-KHayal-e-dost hai apni 'zamir'
ab kisi goshe mein ehsas-e-ana milta nahin

(661) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na-KHuda Ko Jab KHuda Ka Aasra Milta Nahin written by Khwaja Zameer at UrduPoint. Na-KHuda Ko Jab KHuda Ka Aasra Milta Nahin is one of the masterpieces written by Khwaja Zameer. You can also find the complete poetry collection of Khwaja Zameer by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Khwaja Zameer' above.

Na-KHuda Ko Jab KHuda Ka Aasra Milta Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na-KHuda Ko Jab KHuda Ka Aasra Milta Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.