Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun, Urdu Ghazal By Krishn Bihari Noor

Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Krishn Bihari Noor. Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کبھی جنوں تو کبھی آگہی کی قید میں ہوں

کرشن بہاری نور

کبھی جنوں تو کبھی آگہی کی قید میں ہوں

میں اپنے ذہن کی آوارگی کی قید میں ہوں

شراب میرے لبوں کو ترس رہی ہوگی

میں رند تو ہوں مگر تشنگی کی قید میں ہوں

نہ کوئی سمت نہ جادہ نہ منزل مقصود

یگوں یگوں سے یوں ہی بے رخی کی قید میں ہوں

کسی کے رخ سے جو پردہ اٹھا دیا میں نے

سزا یہ پائی کی دیوانگی کی قید میں ہوں

یہ کس خطا کی سزا میں ہیں دوہری زنجیریں

گرفت موت کی ہے زندگی کی قید میں ہوں

نہ جانے کتنی نقابیں الٹتا جاتا ہوں

جنم جنم سے میں بے چارگی کی قید میں ہوں

یہاں تو پردۂ سیمیں پہ چل رہی ہے فلم

میں جس جگہ ہوں وہاں روشنی کی قید میں ہوں

جہاں میں قید سے چھوٹوں وہیں پہ مل جانا

ابھی نہ ملنا ابھی زندگی کی قید میں ہوں

غرض نصیب میں لکھی رہی اسیری ہی

کسی کی قید سے چھوٹا کسی کی قید میں ہوں

گناہ یہ ہے کہ کیوں اپنا نام رکھا نورؔ

وہ دن اور آج کا دن تیرگی کی قید میں ہوں

کرشن بہاری نور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun

Krishn Bihari Noor

kabhi junun to kabhi aagahi ki qaid mein hun
main apne zehn ki aawargi ki qaid mein hun

sharab mere labon ko taras rahi hogi
main rind to hun magar tishnagi ki qaid mein hun

na koi samt na jada na manzil-e-maqsud
yugon yugon se yunhi be-ruKHi ki qaid mein hun

kisi ke ruKH se jo parda uTha diya main ne
saza ye pai ki diwangi ki qaid mein hun

ye kis KHata ki saza mein hain dohri zanjiren
giraft maut ki hai zindagi ki qaid mein hun

na jaane kitni naqaben ulaTta jata hun
janm janm se main bechaargi ki qaid mein hun

yahan to parda-e-simin pe chal rahi hai film
main jis jagah hun wahan raushni ki qaid mein hun

jahan main qaid se chhuTun wahin pe mil jaana
abhi na milna abhi zindagi ki qaid mein hun

gharaz nasib mein likkhi rahi asiri hi
kisi ki qaid se chhuTa kisi ki qaid mein hun

gunah ye hai ki kyun apna nam rakha 'nur'
wo din aur aaj ka din tirgi ki qaid mein hun

(668) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun written by Krishn Bihari Noor at UrduPoint. Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun is one of the masterpieces written by Krishn Bihari Noor. You can also find the complete poetry collection of Krishn Bihari Noor by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Krishn Bihari Noor' above.

Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kabhi Junun To Kabhi Aagahi Ki Qaid Mein Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.