Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad, Urdu Ghazal By Krishn Bihari Noor

Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Krishn Bihari Noor. Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تیز ہو جاتا ہے خوشبو کا سفر شام کے بعد

کرشن بہاری نور

تیز ہو جاتا ہے خوشبو کا سفر شام کے بعد

پھول شہروں میں بھی کھلتے ہیں مگر شام کے بعد

اس سے دریافت نہ کرنا کبھی دن کے حالات

صبح کا بھولا جو لوٹ آیا ہو گھر شام کے بعد

دن ترے ہجر میں کٹ جاتا ہے جیسے تیسے

مجھ سے رہتی ہے خفا میری نظر شام کے بعد

قد سے بڑھ جائے جو سایہ تو برا لگتا ہے

اپنا سورج وہ اٹھا لیتا ہے ہر شام کے بعد

تم نہ کر پاؤگے اندازہ تباہی کا مری

تم نے دیکھا ہی نہیں کوئی شجر شام کے بعد

میرے بارے میں کوئی کچھ بھی کہے سب منظور

مجھ کو رہتی ہی نہیں اپنی خبر شام کے بعد

یہی ملنے کا سمے بھی ہے بچھڑنے کا بھی

مجھ کو لگتا ہے بہت اپنے سے ڈر شام کے بعد

تیرگی ہو تو وجود اس کا چمکتا ہے بہت

ڈھونڈ تو لوں گا اسے نورؔ مگر شام کے بعد

کرشن بہاری نور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad

Krishn Bihari Noor

tez ho jata hai KHushbu ka safar sham ke baad
phul shahron mein bhi khilte hain magar sham ke baad

us se daryaft na karna kabhi din ke haalat
subh ka bhula jo lauT aaya ho ghar sham ke baad

din tere hijr mein kaT jata hai jaise-taise
mujh se rahti hai KHafa meri nazar sham ke baad

qad se baDh jae jo saya to bura lagta hai
apna suraj wo uTha leta hai har sham ke baad

tum na kar paoge andaza tabahi ka meri
tum ne dekha hi nahin koi shajar sham ke baad

mere bare mein koi kuchh bhi kahe sab manzur
mujh ko rahti hi nahin apni KHabar sham ke baad

yahi milne ka samay bhi hai bichhaDne ka bhi
mujh ko lagta hai bahut apne se Dar sham ke baad

tirgi ho to wajud us ka chamakta hai bahut
DhunD to lunga use 'nur' magar sham ke baad

(804) ووٹ وصول ہوئے

You can read Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad written by Krishn Bihari Noor at UrduPoint. Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad is one of the masterpieces written by Krishn Bihari Noor. You can also find the complete poetry collection of Krishn Bihari Noor by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Krishn Bihari Noor' above.

Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tez Ho Jata Hai KHushbu Ka Safar Sham Ke Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.