Waqt Ki Chaak Pe TaKHliq Nai Chahti Hai, Urdu Ghazal By Kuldeep Kumar

Waqt Ki Chaak Pe TaKHliq Nai Chahti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Kuldeep Kumar. Waqt Ki Chaak Pe TaKHliq Nai Chahti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Waqt Ki Chaak Pe TaKHliq Nai Chahti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وقت کی چاک پہ تخلیق نئی چاہتی ہے

کلدیپ کمار

وقت کی چاک پہ تخلیق نئی چاہتی ہے

زندگی اور ذرا کوزہ گری چاہتی ہے

ایک دہلیز ہے جو پاؤں پکڑ لیتی ہے

ایک لڑکی ہے کہ جو اپنی خوشی چاہتی ہے

آؤ رو لیں کہ ان آنکھوں سے ذرا دھوپ چھٹے

شام کا وقت ہے یہ مٹی نمی چاہتی ہے

پیاس کا کھیل دکھانے میں کوئی حرج نہیں

مسئلہ یہ ہے کہ اس بار ندی چاہتی ہے

عشق پروان پہ ہے آؤ بچھڑ جائیں ہم

یہ تقاضا بھی ہے دنیا بھی یہی چاہتی ہے

اک نظر فاقے پہ بیٹھی ہے کئی ہفتوں سے

جانے کس یار ستم گر کی گلی چاہتی ہے

کلدیپ کمار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Waqt Ki Chaak Pe TaKHliq Nai Chahti Hai

Kuldeep Kumar

waqt ki chaak pe taKHliq nai chahti hai
zindagi aur zara kuza-gari chahti hai

ek dahliz hai jo panw pakaD leti hai
ek laDki hai ki jo apni KHushi chahti hai

aao ro len ki in aankhon se zara dhup chhaTe
sham ka waqt hai ye miTTi nami chahti hai

pyas ka khel dikhane mein koi harj nahin
masala ye hai ki is bar nadi chahti hai

ishq parwan pe hai aao bichhaD jaen hum
ye taqaza bhi hai duniya bhi yahi chahti hai

ek nazar faqe pe baiThi hai kai hafton se
jaane kis yar-e-sitamgar ki gali chahti hai

(643) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Waqt Ki Chaak Pe TaKHliq Nai Chahti Hai written by Kuldeep Kumar at UrduPoint. Waqt Ki Chaak Pe TaKHliq Nai Chahti Hai is one of the masterpieces written by Kuldeep Kumar. You can also find the complete poetry collection of Kuldeep Kumar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Kuldeep Kumar' above.

Waqt Ki Chaak Pe TaKHliq Nai Chahti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Waqt Ki Chaak Pe TaKHliq Nai Chahti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.