Bachchon Ki Baaten, Urdu Nazam By Lateef Farooqi

Bachchon Ki Baaten is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Lateef Farooqi. Bachchon Ki Baaten comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Bachchon Ki Baaten on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بچوں کی باتیں

لطیف فاروقی

آئے ہیں آسمان پر بادل

چھائے ہیں آسمان پر بادل

ابر ہی ابر دیکھتے ہیں ہم

ہے برسنے کو جو ابھی چھم چھم

اور معلوم ایسا ہوتا ہے

چھپ کے خورشید جیسے سوتا ہے

گھر کے کوٹھے پہ ایک دو بچے

چارپائی پہ ہیں ڈٹے بیٹھے

بولیاں بھانت بھانت ہیں ان کی

میٹھی میٹھی ہیں بھولی بھالی سی

ایک بولا کہ جانتے ہو کیا

کیا ہے یہ آسمان پر چھایا

روئی کے گالے نام ہے ان کا

آنا اور جانا کام ہے ان کا

جب پہاڑوں سے لوگ آتے ہیں

روئی کے گالے ساتھ لاتے ہیں

کر کے اچھی طرح سے ان کو صاف

لمبے چوڑے بناتے ہیں وہ لحاف

بات سچ یہ ہے دوسرا بولا

آسمان پر لگا ہے اک خیمہ

ہے غلط یہ بھی تیسرے نے کہا

اصل میں ہے یہ دودھ کا دریا

آسماں والے اس کو پیتے ہیں

اس کو پی کر فرشتے جیتے ہیں

مل کے یوں سب نے ایسی باتیں کیں

ننھے ننھوں نے ننھی باتیں کیں

دیکھتے دیکھتے ہوا پھر کیا

موسلا دھار مینہ برسنے لگا

پیارے بچے یہ لاڈلے بچے

اپنے اپنے گھروں کو بھاگ گئے

لطیف فاروقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bachchon Ki Baaten

Lateef Farooqi

aae hain aasman par baadal
chhae hain aasman par baadal
abr hi abr dekhte hain hum
hai barasne ko jo abhi chham-chham
aur malum aisa hota hai
chhup ke KHurshid jaise sota hai
ghar ke koThe pe ek do bachche
chaarpai pe hain DaTe baiThe
boliyan bhant bhant hain un ki
miThi miThi hain bholi bhaali si

ek bola ki jaante ho kya
kya hai ye aasman par chhaya
rui ke gale nam hai in ka
aana aur jaana kaam hai in ka
jab pahaDon se log aate hain
rui ke gale sath late hain
kar ke achchhi tarah se in ko saf
lambe chauDe banate hain wo lihaf

baat sach ye hai dusra bola
aasman par laga hai ek KHema
hai ghalat ye bhi tisre ne kaha
asl mein hai ye dudh ka dariya
aasman wale is ko pite hain
is ko pi kar farishte jite hain

mil ke yun sab ne aisi baaten kin
nanhe nanhon ne nannhi baaten kin
dekhte dekhte hua phir kya
musla-dhaar meinh barasne laga
pyare bachche ye laDle bachche
apne apne gharon ko bhag gae

(631) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bachchon Ki Baaten written by Lateef Farooqi at UrduPoint. Bachchon Ki Baaten is one of the masterpieces written by Lateef Farooqi. You can also find the complete poetry collection of Lateef Farooqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Lateef Farooqi' above.

Bachchon Ki Baaten is a widely read Urdu Nazam. If you like Bachchon Ki Baaten, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.