Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona, Urdu Ghazal By Liaqat Jafri

Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Liaqat Jafri. Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مرے وجود ابھی ناتواں نہیں ہونا

لیاقت جعفری

مرے وجود ابھی ناتواں نہیں ہونا

پھر اس کے بعد یہ موسم جواں نہیں ہونا

کسے خبر تھی کہ محشر کا ہوگا یہ بھی رنگ

زمیں کا ہونا مگر آسماں نہیں ہونا

ہمیں خبر ہے کہ وحشت ٹھکانے لگنی ہے

ہمارا جوش ابھی رائیگاں نہیں ہونا

وجود اپنا ہے اور آپ طے کریں گے ہم

کہاں پہ ہونا ہے ہم کو کہاں نہیں ہونا

اب اس کے بعد سکت کچھ نہیں رہی مجھ میں

اب اس سے آگے کا قصہ بیاں نہیں ہونا

ہماری بستی کا دکھ ہے ہمیں سے پوچھو میاں

کہ قبریں ہونی مگر آستاں نہیں ہونا

مقام شکر ہے میرے لئے کہ میرے مرید

یہ تیرا آج مرا قدرداں نہیں ہونا

میں خاندان کا سب سے بڑا مداری ہوں

تماشہ ہوتا رہے گا یہاں نہیں ہونا

بس اتنی دوری میسر رہے گی دونوں کو

کہ فاصلہ بھی کوئی درمیاں نہیں ہونا

عجب عذاب تھا کہ اپنے شہر ارماں میں

ہمارے واسطے جائے اماں نہیں ہونا

یہ ظلم ہے کہ منادی ہو امتحانوں کی

پھر اس کے بعد کوئی امتحاں نہیں ہونا

عجب سپردگیٔ جاں کا مرحلہ تھا علیؔ

ہمارے ہونے کا ہم کو گماں نہیں ہونا

لیاقت جعفری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona

Liaqat Jafri

mere wajud abhi na-tawan nahin hona
phir is ke baad ye mausam jawan nahin hona

kise KHabar thi ki mahshar ka hoga ye bhi rang
zamin ka hona magar aasman nahin hona

hamein KHabar hai ki wahshat Thikane lagni hai
hamara josh abhi raegan nahin hona

wajud apna hai aur aap tai karenge hum
kahan pe hona hai hum ko kahan nahin hona

ab is ke baad sakat kuchh nahin rahi mujh mein
ab is se aage ka qissa bayan nahin hona

hamari basti ka dukh hai hamin se puchho miyan
ki qabren honi magar aastan nahin hona

maqam-e-shukr hai mere liye ki mere murid
ye tera aaj mera qadr-dan nahin hona

main KHandan ka sab se baDa madari hun
tamasha hota rahega yahan nahin hona

bas itni duri mayassar rahegi donon ko
ki fasla bhi koi darmiyan nahin hona

ajab azab tha ki apne shahr-e-arman mein
hamare waste ja-e-aman nahin hona

ye zulm hai ki munadi ho imtihanon ki
phir is ke baad koi imtihan nahin hona

ajab supurdagi-e-jaan ka marhala tha 'ali'
hamare hone ka hum ko guman nahin hona

(653) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona written by Liaqat Jafri at UrduPoint. Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona is one of the masterpieces written by Liaqat Jafri. You can also find the complete poetry collection of Liaqat Jafri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Liaqat Jafri' above.

Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.