Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai, Urdu Ghazal By Liaqat Jafri

Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Liaqat Jafri. Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ جو رہ رہ کے سر دشت ہوا چلتی ہے

لیاقت جعفری

یہ جو رہ رہ کے سر دشت ہوا چلتی ہے

کتنی اچھی ہے مگر کتنا برا چلتی ہے

ایک آسیب تعاقب میں لگا رہتا ہے

میں جو رکتا ہوں تو پھر اس کی صدا چلتی ہے

ہائے وہ سانس کہ رکتی ہے تو کیا رکتی ہے

ہائے وہ آنکھ کہ چلتی ہے تو کیا چلتی ہے

پیش خیمہ ہے کسی اور نئی وحشت کا

یہ جو اترا کے ابھی باد صبا چلتی ہے

تیر چلتے ہیں لگاتار سواد جاں میں

اور تلوار کوئی ایک جدا چلتی ہے

بیچ دریا کے عجب جشن بپا ہے یارو

ساتھ کشتی کے کوئی موج بلا چلتی ہے

آج کچھ اور ہی منظر ہے مرے چاروں طرف

غیر محسوس طریقے سے ہوا چلتی ہے

میں بظاہر تو ہوں آسودہ پہ میرے اندر

دھیمے دھیمے سے کہیں آہ و بکا چلتی ہے

یوں تو بے باک بنا پھرتا ہے وہ یاروں میں

اس کی آنکھوں میں عجب شرم و حیا چلتی ہے

میرے مولا جو رہے صرف کہا تیرا رہے

میرے ہونٹوں پہ یہی ایک دعا چلتی ہے

لیاقت جعفری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai

Liaqat Jafri

ye jo rah rah ke sar-e-dasht hawa chalti hai
kitni achchhi hai magar kitna bura chalti hai

ek aaseb taaqub mein laga rahta hai
main jo rukta hun to phir us ki sada chalti hai

hae wo sans ki rukti hai to kya rukti hai
hae wo aankh ki chalti hai to kya chalti hai

pesh-KHema hai kisi aur nai wahshat ka
ye jo itra ke abhi baad-e-saba chalti hai

tir chalte hain lagatar sawad-e-jaan mein
aur talwar koi ek juda chalti hai

bich dariya ke ajab jashn bapa hai yaro
sath kashti ke koi mauj-e-bala chalti hai

aaj kuchh aur hi manzar hai mere chaaron taraf
ghair-mahsus tariqe se hawa chalti hai

main ba-zahir to hun aasuda pa mere andar
dhime dhime se kahin aah-o-buka chalti hai

yun to bebak bana phirta hai wo yaron mein
us ki aaankhon mein ajab sharm-o-haya chalti hai

mere maula jo rahe sirf kaha tera rahe
mere honTon pe yahi ek dua chalti hai

(642) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai written by Liaqat Jafri at UrduPoint. Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai is one of the masterpieces written by Liaqat Jafri. You can also find the complete poetry collection of Liaqat Jafri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Liaqat Jafri' above.

Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.