Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin, Urdu Ghazal By Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Maharaja Sir Kishan Parashad Shad. Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اب دماغ و دل میں وہ قوت نہیں وہ دل نہیں

مہاراج سرکشن پرشاد شاد

اب دماغ و دل میں وہ قوت نہیں وہ دل نہیں

شادؔ اب اشعار میرے در خور محفل نہیں

تو مرے اشک ندامت کی حقیقت کچھ نہ پوچھ

اس کا ہر قطرہ وہ دریا ہے جہاں ساحل نہیں

گھر خدا کا تھا مگر بت اس میں آ کر بس گئے

اب مرقع ہے حسینوں کا ہمارا دل نہیں

نکتہ چیں ہو میری رندانہ روش پر کیوں کوئی

میں کوئی زاہد نہیں واعظ نہیں عاقل نہیں

پردہ داری کرتی ہے در پردہ لیلیٰ عشق کی

جذبۂ دل قیس کا ہے پردۂ محمل نہیں

انقلاب‌ دہر سے الٹا زمانے کا ورق

اہل محمل وہ نہیں وہ رونق محفل نہیں

ہند میں چلنے لگی ہے اب ہوائے انقلاب

شادؔ سچ ہے یہ جگہ رہنے کے اب قابل نہیں

ساغر مے پیش کر کے شیخ کہلاتا ہوں میں

ہدیۂ احقر ہے یہ گو آپ کے قابل نہیں

حق میں اب عاشق کے دیکھیں فیصلہ ہوتا ہے کیا

عشق کا دعویٰ حضور حسن تو باطل نہیں

مہاراج سرکشن پرشاد شاد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin

Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

ab dimagh-o-dil mein wo quwwat nahin wo dil nahin
'shad' ab ashaar mere dar-KHur-e-mahfil nahin

tu mere ashk-e-nadamat ki haqiqat kuchh na puchh
us ka har qatra wo dariya hai jahan sahil nahin

ghar KHuda ka tha magar but is mein aa kar bas gae
ab muraqqa hai hasinon ka hamara dil nahin

nukta-chin ho meri rindana rawish par kyun koi
main koi zahid nahin waiz nahin aaqil nahin

parda-dari karti hai dar-parda laila ishq ki
jazba-e-dil qais ka hai parda-e-mahmil nahin

inqalab-e-dahr se ulTa zamane ka waraq
ahl-e-mahfil wo nahin wo raunaq-e-mahfil nahin

hind mein chalne lagi hai ab hawa-e-inqalab
'shad' sach hai ye jagah rahne ke ab qabil nahin

saghar-e-mai pesh kar ke shaiKH kahlata hun main
hadiya-e-ahqar hai ye go aap ke qabil nahin

haq mein ab aashiq ke dekhen faisla hota hai kya
ishq ka dawa huzur-e-husn to baatil nahin

(690) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin written by Maharaja Sir Kishan Parashad Shad at UrduPoint. Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin is one of the masterpieces written by Maharaja Sir Kishan Parashad Shad. You can also find the complete poetry collection of Maharaja Sir Kishan Parashad Shad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Maharaja Sir Kishan Parashad Shad' above.

Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ab Dimagh-o-dil Mein Wo Quwwat Nahin Wo Dil Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.