Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main, Urdu Ghazal By Mahender Kumar Sani

Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahender Kumar Sani. Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رات دن گردش میں ہیں لیکن پڑا رہتا ہوں میں

مہندر کمار ثانی

رات دن گردش میں ہیں لیکن پڑا رہتا ہوں میں

کام کیا میرا یہاں ہے سوچتا رہتا ہوں میں

باہر اندر کے جہانوں سے ملا مجھ کو فراغ

تیسری دنیا کے چکر کاٹتا رہتا ہوں میں

ایک بے خوفی مجھے لے آئی ساحل کے قریب

آ کے اب نزدیک ساحل کے ڈرا رہتا ہوں میں

جانے کیسی روشنی تھی کر گئی اندھا مجھے

اس بھیانک تیرگی میں بھی بجھا رہتا ہوں میں

کر دیا کس نے مرا آئینۂ دل گرد گرد

عکس ہوں کس کا ہوا سے پوچھتا رہتا ہوں میں

ایک جنگل سا اگا ہے میرے تن کے چاروں اور

اور اپنے من کے اندر زرد سا رہتا ہوں میں

ایک نقطے سے ابھرتی ہے یہ ساری کائنات

ایک نقطے پر سمٹتا پھیلتا رہتا ہوں میں

روشنی میں لفظ کے تحلیل ہو جانے سے قبل

اک خلا پڑتا ہے جس میں گھومتا رہتا ہوں میں

سانس کی لے پر تھرکتی ہے کوئی ازلی ترنگ

رنگ ثانیؔ دیکھ کر حیرت زدہ رہتا ہوں میں

مہندر کمار ثانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main

Mahender Kumar Sani

raat din gardish mein hain lekin paDa rahta hun main
kaam kya mera yahan hai sochta rahta hun main

bahar andar ke jahanon se mila mujh ko faragh
tisri duniya ke chakkar kaTta rahta hun main

ek be-KHaufi mujhe le aai sahil ke qarib
aa ke ab nazdik sahil ke Dara rahta hun main

jaane kaisi raushni thi kar gai andha mujhe
is bhayanak tirgi mein bhi bujha rahta hun main

kar diya kis ne mera aaina-e-dil gard gard
aks hun kis ka hawa se puchhta rahta hun main

ek jangal sa uga hai mere tan ke chaaron or
aur apne man ke andar zard sa rahta hun main

ek nuqte se ubharti hai ye sari kaenat
ek nuqte par simaTta phailta rahta hun main

raushni mein lafz ke tahlil ho jaane se qabl
ek KHala paDta hai jis mein ghumta rahta hun main

sans ki lai par thirakti hai koi azli tarang
rang-e-'sani' dekh kar hairat-zada rahta hun main

(515) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main written by Mahender Kumar Sani at UrduPoint. Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main is one of the masterpieces written by Mahender Kumar Sani. You can also find the complete poetry collection of Mahender Kumar Sani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahender Kumar Sani' above.

Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.