Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai, Urdu Ghazal By Mahendra Partap Chand

Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahendra Partap Chand. Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رنجشوں نے جذبۂ اخلاص گرمایا بھی ہے

مہندر پرتاپ چاند

رنجشوں نے جذبۂ اخلاص گرمایا بھی ہے

دوستی میں ہم نے کچھ کھویا ہے کچھ پایا بھی ہے

اک ذرا سی بات پر کیوں کر تعلق توڑ دوں

وہ پرانا یار بھی ہے میرا ہمسایہ بھی ہے

اس طرف دیکھا تو ہے بے شک حقارت سے سہی

شکر ہے اتنا کرم تو اس نے فرمایا بھی ہے

یوں تو کچھ قیمت نہیں جنس وفا کی ہاں مگر

جس قدر ارزاں ہے یہ اتنی گراں مایہ بھی ہے

سیر پھر بھی ہو نہیں پایا دل ایذا طلب

وقت نے جی بھر کے گو اس پر ستم ڈھایا بھی ہے

ہجر کی شب اور یادوں کی سرور آگیں پھوار

کچھ تو دل کی بے قراری کو قرار آیا بھی ہے

لاکھ موجوں کی بلا خیزی نے کی کھلواڑ بھی

اس نے کشتی کو مگر ساحل پہ پہنچایا بھی ہے

پھر بھی یا رب کیا ملے گا حاسدوں کے شہر میں

تاج تو شہرت کا تو نے مجھ کو پہنایا بھی ہے

کیوں نہ چاندؔ اپنی انا کو جان سے رکھوں عزیز

یہ مرا ایمان بھی ہے میرا سرمایہ بھی ہے

مہندر پرتاپ چاند

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai

Mahendra Partap Chand

ranjishon ne jazba-e-iKHlas garmaya bhi hai
dosti mein hum ne kuchh khoya hai kuchh paya bhi hai

ek zara si baat par kyun kar talluq toD dun
wo purana yar bhi hai mera ham-saya bhi hai

is taraf dekha to hai be-shak hiqarat se sahi
shukr hai itna karam to is ne farmaya bhi hai

yun to kuchh qimat nahin jins-e-wafa ki han magar
jis qadar arzan hai ye itni garan-maya bhi hai

sair phir bhi ho nahin paya dil-e-iza-talab
waqt ne ji bhar ke go us par sitam Dhaya bhi hai

hijr ki shab aur yaadon ki surur-agin phuwar
kuchh to dil ki be-qarari ko qarar aaya bhi hai

lakh maujon ki bala-KHezi ne ki khilwaD bhi
us ne kashti ko magar sahil pe pahunchaya bhi hai

phir bhi yarab kya milega hasidon ke shahr mein
taj to shohrat ka tu ne mujh ko pahnaya bhi hai

kyun na 'chand' apni ana ko jaan se rakhun aziz
ye mera iman bhi hai mera sarmaya bhi hai

(665) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai written by Mahendra Partap Chand at UrduPoint. Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai is one of the masterpieces written by Mahendra Partap Chand. You can also find the complete poetry collection of Mahendra Partap Chand by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahendra Partap Chand' above.

Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ranjishon Ne Jazba-e-iKHlas Garmaya Bhi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.