Taswir Mein Rang Bhar Rahe Hain, Urdu Ghazal By Maher Chand Kausar

Taswir Mein Rang Bhar Rahe Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Maher Chand Kausar. Taswir Mein Rang Bhar Rahe Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Taswir Mein Rang Bhar Rahe Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تصویر میں رنگ بھر رہے ہیں

مہر چند کوثر

تصویر میں رنگ بھر رہے ہیں

ملنے کا ارادہ کر رہے ہیں

خوشیاں ہی نہیں تھیں ساتھ میرے

غم بھی میرے ہم سفر رہے ہیں

آنکھیں تو کھلی ہوئی تھیں پھر بھی

ہر بات سے بے خبر رہے ہیں

کوئی راحت ملی نہ اہل فن کو

آرام سے بے ہنر رہے ہیں

باقی نہیں دل میں شوق پرواز

مدت سے بے بال و پر رہے ہیں

اردو سی زباں پہ کچھ مخالف

ہر سمت سے وار کر رہے ہیں

اک عمر سے اہل دل کے ڈیرے

تلوار کی دھار پر رہے ہیں

مشتاق تو جا چکے ہیں کوثرؔ

اب کس لئے بن سنور رہے ہیں

مہر چند کوثر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Taswir Mein Rang Bhar Rahe Hain

Maher Chand Kausar

taswir mein rang bhar rahe hain
milne ka irada kar rahe hain

KHushiyan hi nahin thin sath mere
gham bhi mere ham-safar rahe hain

aankhen to khuli hui thin phir bhi
har baat se be-KHabar rahe hain

koi rahat mili na ahl-e-fan ko
aaram se be-hunar rahe hain

baqi nahin dil mein shauq-e-parwaz
muddat se be-baal-o-par rahe hain

urdu si zaban pe kuchh muKHalif
har samt se war kar rahe hain

ek umr se ahl-e-dil ke Dere
talwar ki dhaar par rahe hain

mushtaq to ja chuke hain 'kausar'
ab kis liye ban-sanwar rahe hain

(419) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Taswir Mein Rang Bhar Rahe Hain written by Maher Chand Kausar at UrduPoint. Taswir Mein Rang Bhar Rahe Hain is one of the masterpieces written by Maher Chand Kausar. You can also find the complete poetry collection of Maher Chand Kausar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Maher Chand Kausar' above.

Taswir Mein Rang Bhar Rahe Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Taswir Mein Rang Bhar Rahe Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.