Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein, Urdu Ghazal By Mahfuzur Rahman Adil

Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahfuzur Rahman Adil. Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آپ نور افشاں ہیں رات کے اندھیرے میں

محفوظ الرحمان عادل

آپ نور افشاں ہیں رات کے اندھیرے میں

یا ستارے رقصاں ہیں رات کے اندھیرے میں

ایک دن وہ ذروں کو آفتاب کر لیں گے

دھوپ کے جو خواہاں ہیں رات کے اندھیرے میں

کیوں نہیں جلا لیتے آنسوؤں کی قندیلیں

لوگ کیوں ہراساں ہیں رات کے اندھیرے میں

خوفناک آوازیں وحشیوں کے ہنگامے

رونق بیاباں ہیں رات کے اندھیرے میں

روشنی تو پہنچی ہے صرف چند لوگوں تک

اب بھی کتنے انساں ہیں رات کے اندھیرے میں

دن کی روشنی میں جو سب سے بے تکلف ہے

ہم سے کیوں گریزاں ہیں رات کے اندھیرے میں

تیرگی سے لڑنے کا حوصلہ نہیں جن میں

ان کے جسم لرزاں ہیں رات کے اندھیرے میں

اجلے اجلے چہروں پر عکس دل ربائی کے

کس قدر نمایاں ہیں رات کے اندھیرے میں

ڈھونڈتے ہیں سب اپنے اپنے ہم نواؤں کو

آئنے پریشاں ہیں رات کے اندھیرے میں

کس کے نقش ہائے پا رہنما ہوئے عادلؔ

راستے درخشاں ہیں رات کے اندھیرے میں

محفوظ الرحمان عادل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein

Mahfuzur Rahman Adil

aap nur-afshan hain raat ke andhere mein
ya sitare raqsan hain raat ke andhere mein

ek din wo zarron ko aaftab kar lenge
dhup ke jo KHwahan hain raat ke andhere mein

kyun nahin jala lete aansuon ki qindilen
log kyun hirasan hain raat ke andhere mein

KHaufnak aawazen wahshiyon ke hangame
raunaq-e-bayaban hain raat ke andhere mein

raushni to pahunchi hai sirf chand logon tak
ab bhi kitne insan hain raat ke andhere mein

din ki raushni mein jo sab se be-takalluf hai
hum se kyun gurezan hain raat ke andhere mein

tirgi se laDne ka hausla nahin jin mein
an ke jism larzan hain raat ke andhere mein

ujle ujle chehron par aks dilrubai ke
kis qadar numayan hain raat ke andhere mein

DhunDte hain sab apne apne ham-nawaon ko
aaine pareshan hain raat ke andhere mein

kis ke naqsh-ha-e-pa rahnuma hue 'adil'
raste daraKHshan hain raat ke andhere mein

(675) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein written by Mahfuzur Rahman Adil at UrduPoint. Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein is one of the masterpieces written by Mahfuzur Rahman Adil. You can also find the complete poetry collection of Mahfuzur Rahman Adil by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahfuzur Rahman Adil' above.

Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aap Nur-afshan Hain Raat Ke Andhere Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.