Agar Na Dard Se Is Dil Ko Aashna Karte, Urdu Ghazal By Mahir Bilgrami

Agar Na Dard Se Is Dil Ko Aashna Karte is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahir Bilgrami. Agar Na Dard Se Is Dil Ko Aashna Karte comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Agar Na Dard Se Is Dil Ko Aashna Karte on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اگر نہ درد سے اس دل کو آشنا کرتے

ماہر بلگرامی

اگر نہ درد سے اس دل کو آشنا کرتے

غم حیات کا کس طرح تجزیا کرتے

خدا نخواستہ کشتی جو ڈوبنے لگتی

سوا خدا کے بھلا کیا یہ ناخدا کرتے

عجب نہیں تھا کہ آ جاتا ہوش میں بیمار

قریب آ کے جو دامن سے وہ ہوا کرتے

کٹی تصور حوران خلد میں جن کی

ہمارے ان کے بھلا کیا وہ تصفیہ کرتے

ہم ایسے رند پس مرگ بھی وہاں جاتے

نہ پینا جرم ہو حکماً جہاں پیا کرتے

سخی کے سامنے پھیلے ہوئے ہیں جن کے ہاتھ

ہم ایسے لوگوں سے کیا عرض مدعا کرتے

یہ درد دل تو ہے اس زندگی کا مترادف

مرض اگر کوئی ہوتا تو کچھ دوا کرتے

نہ ہوتے دل سے جو مجبور کر کے ترک وفا

اسے بھی ہم ذرا تڑپا کے تجربہ کرتے

تنک مزاجیٔ خوباں کا گر پتا ہوتا

مناتے پھر انہیں پہلے تو ہم خفا کرتے

گئے ہیں دیر و حرم ہو کے لا مکاں کی طرف

قیام رہرو منزل یوں جا بجا کرتے

اٹھایا مصلحتاً ہم نے خون کا دعویٰ

کسی کی آنکھ سر حشر نیچی کیا کرتے

نہ پاس لغزش آدم اگر ہمیں ہوتا

علاج تیرا بھی اے دیو اشتہا کرتے

نہ ہوتی اپنے پرائے کی پھر ہمیں تمییز

دغا نہ مل کے اگر یار آشنا کرتے

نیاز و ناز نہ یوں ہوتے لازم و ملزوم

نہ یوں کسی کے اشاروں پہ ہم چلا کرتے

درون دل کی صدا ہے مگر غزل ماہرؔ

کہ شعر شعر پہ سامع ہیں واہ وا کرتے

ماہر بلگرامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Agar Na Dard Se Is Dil Ko Aashna Karte

Mahir Bilgrami

agar na dard se is dil ko aashna karte
gham-e-hayat ka kis tarah tajziya karte

KHuda-na-KHwasta kashti jo Dubne lagti
siwa KHuda ke bhala kya ye naKHuda karte

ajab nahin tha ki aa jata hosh mein bimar
qarib aa ke jo daman se wo hawa karte

kaTi tasawwur-e-huran-e-KHuld mein jin ki
hamare un ke bhala kya wo tasfiya karte

hum aise rind pas-e-marg bhi wahan jate
na pina jurm ho hukaman jahan piya karte

saKHi ke samne phaile hue hain jin ke hath
hum aise logon se kya arz-e-muddaa karte

ye dard-e-dil to hai is zindagi ka mutaradif
maraz agar koi hota to kuchh dawa karte

na hote dil se jo majbur kar ke tark-e-wafa
use bhi hum zara taDpa ke tajraba karte

tunak-mizaji-e-KHuban ka gar pata hota
manate phir unhen pahle to hum KHafa karte

gae hain dair-o-haram ho ke la-makan ki taraf
qayam rahraw-e-manzil yun ja-ba-ja karte

uThaya maslahatan hum ne KHun ka dawa
kisi ki aankh sar-e-hashr nichi kya karte

na pas-e-laghzish-e-adam agar hamein hota
ilaj tera bhi ai dew-e-ishtiha karte

na hoti apne parae ki phir hamein tamiz
dagha na mil ke agar yar aashna karte

niyaz-o-naz na yun hote lazim-o-malzum
na yun kisi ke ishaaron pe hum chala karte

darun-e-dil ki sada hai magar ghazal 'mahir'
ki sher sher pe samea hain wah-wa karte

(705) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Agar Na Dard Se Is Dil Ko Aashna Karte written by Mahir Bilgrami at UrduPoint. Agar Na Dard Se Is Dil Ko Aashna Karte is one of the masterpieces written by Mahir Bilgrami. You can also find the complete poetry collection of Mahir Bilgrami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahir Bilgrami' above.

Agar Na Dard Se Is Dil Ko Aashna Karte is a widely read Urdu Ghazal. If you like Agar Na Dard Se Is Dil Ko Aashna Karte, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.