Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin, Urdu Ghazal By Mahir Bilgrami

Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahir Bilgrami. Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

الفت کا جس کو روگ لگا وہ بچا نہیں

ماہر بلگرامی

الفت کا جس کو روگ لگا وہ بچا نہیں

یہ درد ہے وہ درد کہ جس کی دوا نہیں

انساں وہ کیا کہ جس سے ہو سرزد خطا نہیں

اظہار درد دل پہ یہ غصہ روا نہیں

مہر و وفا نہیں ہیں کہ صبر و رضا نہیں

ہم افقروں کے کیسۂ خاکی میں کیا نہیں

بیمار کے نہ زخم پہ ظالم نمک چھڑک

نرگس سے چھیڑ اچھی یہ باد صبا نہیں

پھر کہہ کے کیا پکاروں تجھے جان من اگر

دلبر نہیں نگار نہیں دل ربا نہیں

نادان دل کو اس سے وفا کی امید ہے

جو بے وفا کسی کا ابھی تک ہوا نہیں

بے لوث عشق و حسن پرستی کے ماسوا

واللہ میرا اور کوئی مدعا نہیں

دیکھا دل غریب کو ناگن سی ڈس گئی

لہرا رہی ہے زلف یہ کالی گھٹا نہیں

بھولے سے ہاں بھی منہ سے نکلتا کبھی کبھی

میرے ہر اک سوال پہ یہ تاکجا نہیں

دکھ درد میں ہمیشہ جو سب کا شریک ہے

اس کے سوا کسی کا مجھے آسرا نہیں

بیدار سونے میں بھی ہے کرتی ضمیر کو

دل کی سدا ہے یہ کوئی بانگ درا نہیں

آساں نہیں مشاہدۂ شاہد جمال

نظروں سے کھلنے والا یہ بند قبا نہیں

پہلے پہل جو دل کو لگی تھی نظر کی چوٹ

بھولا غریب آج بھی وہ حادثا نہیں

بیکار اس کے سامنے اظہار ذوق و شوق

ناداں شئے لطیف سے جو آشنا نہیں

ماہرؔ نہ دل کہو اسے اک لخت سنگ ہے

ہر دم غم حبیب میں جو مبتلا نہیں

ماہر بلگرامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin

Mahir Bilgrami

ulfat ka jis ko rog laga wo bacha nahin
ye dard hai wo dard ki jis ki dawa nahin

insan wo kya ki jis se ho sarzad KHata nahin
izhaar-e-dard-e-dil pe ye ghussa rawa nahin

mehr-o-wafa nahin hain ki sabr-o-raza nahin
hum afqaron ke kisa-e-KHaki mein kya nahin

bimar ke na zaKHm pe zalim namak chhiDak
nargis se chheD achchhi ye baad-e-saba nahin

phir kah ke kya pukarun tujhe jaan-e-man agar
dilbar nahin nigar nahin dilruba nahin

nadan dil ko us se wafa ki umid hai
jo bewafa kisi ka abhi tak hua nahin

be-laus ishq-o-husn-parasti ke ma-siwa
wallah mera aur koi muddaa nahin

dekha dil-e-gharib ko nagin si Das gai
lahra rahi hai zulf ye kali ghaTa nahin

bhule se han bhi munh se nikalta kabhi kabhi
mere har ek sawal pe ye ta-kuja nahin

dukh dard mein hamesha jo sab ka sharik hai
us ke siwa kisi ka mujhe aasra nahin

bedar sone mein bhi hai karti zamir ko
dil ki sada hai ye koi bang-e-dara nahin

aasan nahin mushahida-e-shahid-jamal
nazron se khulne wala ye band-e-qaba nahin

pahle-pahal jo dil ko lagi thi nazar ki choT
bhula gharib aaj bhi wo hadisa nahin

bekar us ke samne izhaar-e-zauq-o-shauq
nadan shai-e-latif se jo aashna nahin

'mahir' na dil kaho use ek laKHt-e-sang hai
har-dam gham-e-habib mein jo mubtala nahin

(527) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin written by Mahir Bilgrami at UrduPoint. Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin is one of the masterpieces written by Mahir Bilgrami. You can also find the complete poetry collection of Mahir Bilgrami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahir Bilgrami' above.

Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.