Jahan-e-dard-o-gham Hai Aur Main Hun, Urdu Ghazal By Mahmood Nashtari

Jahan-e-dard-o-gham Hai Aur Main Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahmood Nashtari. Jahan-e-dard-o-gham Hai Aur Main Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jahan-e-dard-o-gham Hai Aur Main Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جہان درد و غم ہے اور میں ہوں

محمود نشتری

جہان درد و غم ہے اور میں ہوں

ترا نقش قدم ہے اور میں ہوں

کسی کی آنکھ نم ہے اور میں ہوں

وفور شوق کم ہے اور میں ہوں

مجھے ہے دولت کونین حاصل

مرے رب کا کرم ہے اور میں ہوں

میں اپنے آپ کو پہچانتا ہوں

مرا اپنا بھرم ہے اور میں ہوں

یہی کیا کم ہے دنیائے وفا میں

مجھے احساس غم ہے اور میں ہوں

کسی کی یاد کا احساں ہے مجھ پر

سکون دل بہم ہے اور میں ہوں

مجھے محمودؔ کوئی ڈر نہیں ہے

مرا اپنا قلم ہے اور میں ہوں

محمود نشتری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jahan-e-dard-o-gham Hai Aur Main Hun

Mahmood Nashtari

jahan-e-dard-o-gham hai aur main hun
tera naqsh-e-qadam hai aur main hun

kisi ki aankh nam hai aur main hun
wufur-e-shauq kam hai aur main hun

mujhe hai daulat-e-kaunain hasil
mere rab ka karam hai aur main hun

main apne aap ko pahchanta hun
mera apna bharam hai aur main hun

yahi kya kam hai duniya-e-wafa mein
mujhe ehsas-e-gham hai aur main hun

kisi ki yaad ka ehsan hai mujh par
sukun-e-dil baham hai aur main hun

mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai
mera apna qalam hai aur main hun

(661) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jahan-e-dard-o-gham Hai Aur Main Hun written by Mahmood Nashtari at UrduPoint. Jahan-e-dard-o-gham Hai Aur Main Hun is one of the masterpieces written by Mahmood Nashtari. You can also find the complete poetry collection of Mahmood Nashtari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahmood Nashtari' above.

Jahan-e-dard-o-gham Hai Aur Main Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jahan-e-dard-o-gham Hai Aur Main Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.