Di Hai Agar Hayat Tamanna Kiye Baghair, Urdu Ghazal By Mahmood Sarosh

Di Hai Agar Hayat Tamanna Kiye Baghair is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahmood Sarosh. Di Hai Agar Hayat Tamanna Kiye Baghair comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Di Hai Agar Hayat Tamanna Kiye Baghair on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دی ہے اگر حیات تمنا کئے بغیر

محمود سروش

دی ہے اگر حیات تمنا کئے بغیر

اب موت بھی عطا ہو تقاضا کئے بغیر

بازار زندگی ہے فقط گھومنے کی جا

کچھ بھی یہاں ملے گا نہ سودا کئے بغیر

میں بھی انا پسند ہوں لیکن کروں تو کیا

دل مانتا نہیں اسے سجدہ کئے بغیر

جلوہ نمود جسم ہے اور جسم ہے حجاب

پردے میں کوئی رہتا ہے پردہ کئے بغیر

منسوب کس سے ہوتی پھر آخر متاع دل

میں تم کو چھوڑ دیتا جو اپنا کئے بغیر

یہ کارنامہ ہے دل خود احتساب کا

میں پاکباز ہو گیا توبہ کئے بغیر

فریاد کس سے کیجئے اس چارہ ساز کی

جو چھوڑ دے مریض کو اچھا کئے بغیر

چپ رہ کے مطمئن ہیں نہیں جانتے سروشؔ

کچھ راز فاش ہوتے ہیں چرچا کئے بغیر

محمود سروش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Di Hai Agar Hayat Tamanna Kiye Baghair

Mahmood Sarosh

di hai agar hayat tamanna kiye baghair
ab maut bhi ata ho taqaza kiye baghair

bazar-e-zindagi hai faqat ghumne ki ja
kuchh bhi yahan milega na sauda kiye baghair

main bhi ana-pasand hun lekin karun to kya
dil manta nahin use sajda kiye baghair

jalwa numud-e-jism hai aur jism hai hijab
parde mein koi rahta hai parda kiye baghair

mansub kis se hoti phir aaKHir mata-e-dil
main tum ko chhoD deta jo apna kiye baghair

ye kar-nama hai dil-e-KHud-ehtisab ka
main pak-baz ho gaya tauba kiye baghair

fariyaad kis se kijiye us chaara-saz ki
jo chhoD de mariz ko achchha kiye baghair

chup rah ke mutmain hain nahin jaante 'sarosh'
kuchh raaz fash hote hain charcha kiye baghair

(440) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Di Hai Agar Hayat Tamanna Kiye Baghair written by Mahmood Sarosh at UrduPoint. Di Hai Agar Hayat Tamanna Kiye Baghair is one of the masterpieces written by Mahmood Sarosh. You can also find the complete poetry collection of Mahmood Sarosh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahmood Sarosh' above.

Di Hai Agar Hayat Tamanna Kiye Baghair is a widely read Urdu Ghazal. If you like Di Hai Agar Hayat Tamanna Kiye Baghair, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.