Sitare Ki Sajal Jhilmil Ke Resham Se Bani Main, Urdu Ghazal By Mahnaz Anjum

Sitare Ki Sajal Jhilmil Ke Resham Se Bani Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahnaz Anjum. Sitare Ki Sajal Jhilmil Ke Resham Se Bani Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sitare Ki Sajal Jhilmil Ke Resham Se Bani Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ستارے کی سجل جھلمل کے ریشم سے بنی میں

مہناز انجم

ستارے کی سجل جھلمل کے ریشم سے بنی میں

ہجوم خلق دو رویا کھڑا ہے اور چلی میں

یہ جو صحراؤں کے ابعاد آنکھوں میں کھلے ہیں

بگولوں کو بھلی لگنے لگی ہوں ہجرتی میں

میں سوتی رہ گئی بیدار لمحے کے عمق میں

کوئی خوابیدہ ساعت تھی کہ جس میں جاگتی میں

کئی صحرا تھے میری پیاس کی پہنائیوں میں

کسی دریا کے تٹ تک آ کے پھر واپس مڑی میں

یہ تم جو کیسری نیلا بنفسی ڈھونڈتے ہو

تمہیں یہ رنگ مل سکتے ہیں پر میری ہنسی میں

کسی رہرو میں اتنا دم نہیں آئے دھم کو

پچھل پیری کوئی پھرتی ہے خواہش کی گلی میں

یہ لے کاری یہ گرداب غنا یہ احمریں سر

کسی کے ہونٹ گھل کر آ رہے ہیں بانسری میں

ضروری تھا کہ دل کے پیچ و خم پر آنکھ پڑتی

پتا تیرا بھلا لوگوں سے کیسے پوچھتی میں

کھنک اٹھتی ہے رہ رہ کر مری آواز مہنازؔ

بہت نم ساز مٹی گوندھ کر شاید بنی میں

مہناز انجم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sitare Ki Sajal Jhilmil Ke Resham Se Bani Main

Mahnaz Anjum

sitare ki sajal jhilmil ke resham se bani main
hujum-e-KHalq do ruya khaDa hai aur chali main

ye jo sahraon ke abaad aankhon mein khule hain
bagulon ko bhali lagne lagi hun hijrati main

main soti rah gai bedar lamhe ke umuq mein
koi KHwabida saat thi ki jis mein jagti main

kai sahra the meri pyas ki pahnaiyon mein
kisi dariya ke taT tak aa ke phir wapas muDi main

ye tum jo kesari nila ba-nafsi DhunDte ho
tumhein ye rang mil sakte hain par meri hansi main

kisi rahraw mein itna dam nahin aae dham ko
pichhal piri koi phirti hai KHwahish ki gali mein

ye le kari ye girda-e-ghina ye ahmarin sur
kisi ke honT ghul kar aa rahe hain bansuri main

zaruri tha ki dil ke pech-o-KHam par aankh paDti
pata tera bhala logon se kaise puchhti main

khanak uThti hai rah rah kar meri aawaz 'mahnaz'
bahut nam-saz miTTi gundh kar shayad bani main

(578) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sitare Ki Sajal Jhilmil Ke Resham Se Bani Main written by Mahnaz Anjum at UrduPoint. Sitare Ki Sajal Jhilmil Ke Resham Se Bani Main is one of the masterpieces written by Mahnaz Anjum. You can also find the complete poetry collection of Mahnaz Anjum by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahnaz Anjum' above.

Sitare Ki Sajal Jhilmil Ke Resham Se Bani Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sitare Ki Sajal Jhilmil Ke Resham Se Bani Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.