Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati, Urdu Ghazal By Makhmoor Dehlvi

Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Makhmoor Dehlvi. Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دلائل سے خدا تک عقل انسانی نہیں جاتی

مخمور دہلوی

دلائل سے خدا تک عقل انسانی نہیں جاتی

وہ اک ایسی حقیقت ہے جو پہچانی نہیں جاتی

اسے تو راہ میں ارباب ہمت چھوڑ دیتے ہیں

کسی کے ساتھ منزل تک تن آسانی نہیں جاتی

کسے ملتی ہیں وہ آنکھیں محبت میں جو روتی ہیں

مبارک ہیں وہ آنسو جن کی ارزانی نہیں جاتی

ابھرتا ہی نہیں دل ڈوب کر بحر محبت میں

جب آ جاتی ہے اس دریا میں طغیانی نہیں جاتی

گدائی میں بھی مجھ پر شان استغنا برستی ہے

مرے سر سے ہوائے تاج سلطانی نہیں جاتی

مقیم دل ہیں وہ ارمان جو پورے نہیں ہوتے

یہ وہ آباد گھر ہے جس کی ویرانی نہیں جاتی

کچھ ایسا پرتو حسن ازل نے کر دیا روشن

قیامت تک تو اب ذروں کی تابانی نہیں جاتی

کچھ ایسے برگزیدہ لوگ بھی ہیں جن کے ہاتھوں سے

چھڑا کر اپنا دامن پاک دامنی نہیں جاتی

ہجوم یاس میں بھی زندگی پر مسکراتا ہوں

مصیبت میں بھی میری خندہ پیشانی نہیں جاتی

مخمور دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati

Makhmoor Dehlvi

dalael se KHuda tak aql-e-insani nahin jati
wo ek aisi haqiqat hai jo pahchani nahin jati

ise to rah mein arbab-e-himmat chhoD dete hain
kisi ke sath manzil tak tan-asani nahin jati

kise milti hain wo aankhen mohabbat mein jo roti hain
mubarak hain wo aansu jin ki arzani nahin jati

ubharta hi nahin dil Dub kar bahr-e-mohabbat mein
jab aa jati hai is dariya mein tughyani nahin jati

gadai mein bhi mujh par shan-e-istighna barasti hai
mere sar se hawa-e-taj-e-sultani nahin jati

muqim-e-dil hain wo arman jo pure nahin hote
ye wo aabaad ghar hai jis ki virani nahin jati

kuchh aisa partaw-e-husn-e-azal ne kar diya raushan
qayamat tak to ab zarron ki tabani nahin jati

kuchh aise barguzida log bhi hain jin ke hathon se
chhuDa kar apna daman pak-damani nahin jati

hujum-e-yas mein bhi zindagi par muskuraata hun
musibat mein bhi meri KHanda-peshani nahin jati

(689) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati written by Makhmoor Dehlvi at UrduPoint. Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati is one of the masterpieces written by Makhmoor Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Makhmoor Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Makhmoor Dehlvi' above.

Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dalael Se KHuda Tak Aql-e-insani Nahin Jati, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.