Sadaon Ka Na KHala Dekh Kar Dara Mujhko, Urdu Ghazal By Manmohan Talkh

Sadaon Ka Na KHala Dekh Kar Dara Mujhko is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Manmohan Talkh. Sadaon Ka Na KHala Dekh Kar Dara Mujhko comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sadaon Ka Na KHala Dekh Kar Dara Mujhko on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صداؤں کا نہ خلا دیکھ کر ڈرا مجھ کو

منموہن تلخ

صداؤں کا نہ خلا دیکھ کر ڈرا مجھ کو

ہے کوئی اور بھی سننے تو دے ذرا مجھ کو

قریب اپنے جو آیا تو لڑکھڑا سا گیا

تو میری فکر نہ کر کچھ نہیں ہوا مجھ کو

میں برف بیچنے نکلا بھی تو ہمالے میں

اور اس کے بعد زمانے سے ہے گلہ مجھ کو

یہ کیسے درد ہیں جو رہ گئے ہیں بٹنے سے

یہ کیسی گونج ہے کچھ بھی نہیں ملا مجھ کو

میں دیکھ کر تجھے اک سمت ہو سا جاتا ہوں

یہ ملتے ملتے پرے کیسے کر دیا مجھ کو

نہ تو بلائے مجھے اور نہ میں بلاؤں تجھے

یہ کیا ہوا ہے تجھے اور کیا ہوا مجھ کو

خلا میں راستے گرتے ہوں آبشار کی مثل

وہ دھوپ ہو نظر آئے نہ راستہ مجھ کو

یہ موج موج سی آواز کشتیوں کی سی چپ

قدم بنا ہوں اندھیروں کا اب بڑھا مجھ کو

میں چپ کی کھائی کا ہوتا اک اور پتھر آج

مری صدا ہی نے کس کر جکڑ لیا مجھ کو

میں خود کو ڈھال کے تیری صدا میں چاہتا ہوں

کہ تو بھی اب کبھی میری طرح بلا مجھ کو

میں کیا وہ خوف ہوں جو سب کے دل میں بیٹھا ہے

نہیں تو بت سے بنے دیکھتے ہو کیا مجھ کو

میں ایک شام ترے ساتھ رہ کے لٹ سا گیا

کہ زندگی میں یہ لہجہ نہیں ملا مجھ کو

پھر آج گھر مجھے لے آئی جوں کا توں اک بات

کہ جیسے کوئی کھڑا دیکھتا رہا مجھ کو

ادھر کنارے پہ بھی تلخؔ میں ہی تھا کل شام

بس اپنے خوف نے ملنے نہیں دیا مجھ کو

منموہن تلخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sadaon Ka Na KHala Dekh Kar Dara Mujhko

Manmohan Talkh

sadaon ka na KHala dekh kar Dara mujh ko
hai koi aur bhi sunne to de zara mujh ko

qarib apne jo aaya to laDkhaDa sa gaya
tu meri fikr na kar kuchh nahin hua mujh ko

main barf bechne nikla bhi to himale mein
aur us ke baad zamane se hai gila mujh ko

ye kaise dard hain jo rah gae hain baTne se
ye kaisi gunj hai kuchh bhi nahin mila mujh ko

main dekh kar tujhe ek samt ho sa jata hun
ye milte milte pare kaise kar diya mujh ko

na tu bulae mujhe aur na main bulaun tujhe
ye kya hua hai tujhe aur kya hua mujh ko

KHala mein raste girte hon aabshaar ki misl
wo dhup ho nazar aae na rasta mujh ko

ye mauj mauj si aawaz kashtiyon ki si chup
qadam bana hun andheron ka ab baDha mujh ko

main chup ki khai ka hota ek aur patthar aaj
meri sada hi ne kas kar jakaD liya mujh ko

main KHud ko Dhaal ke teri sada mein chahta hun
ki tu bhi ab kabhi meri tarah bula mujh ko

main kya wo KHauf hun jo sab ke dil mein baiTha hai
nahin to but se bane dekhte ho kya mujh ko

main ek sham tere sath rah ke luT sa gaya
ki zindagi mein ye lahja nahin mila mujh ko

phir aaj ghar mujhe le aai jun ka tun ek baat
ki jaise koi khaDa dekhta raha mujh ko

udhar kinare pe bhi 'talKH' mein hi tha kal sham
bas apne KHauf ne milne nahin diya mujh ko

(579) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sadaon Ka Na KHala Dekh Kar Dara Mujhko written by Manmohan Talkh at UrduPoint. Sadaon Ka Na KHala Dekh Kar Dara Mujhko is one of the masterpieces written by Manmohan Talkh. You can also find the complete poetry collection of Manmohan Talkh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Manmohan Talkh' above.

Sadaon Ka Na KHala Dekh Kar Dara Mujhko is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sadaon Ka Na KHala Dekh Kar Dara Mujhko, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.